Waise To Is Ghar Ko Usne Chahe Kam KHush-haali Di, Urdu Ghazal By Ataul Hasan

Waise To Is Ghar Ko Usne Chahe Kam KHush-haali Di is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Ataul Hasan. Waise To Is Ghar Ko Usne Chahe Kam KHush-haali Di comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Waise To Is Ghar Ko Usne Chahe Kam KHush-haali Di on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ویسے تو اس گھر کو اس نے چاہے کم خوشحالی دی

عطا الحسن

ویسے تو اس گھر کو اس نے چاہے کم خوشحالی دی

بیٹا بر خوردار دیا اور بیٹی حوصلے والی دی

غصے میں دونوں نے اک دوجے کے ہاتھ کو جھٹکا تھا

اور اب سوچ رہے ہیں پہلے کس نے کس کو گالی دی

کچھ میں خود بھی ہر اک شخص کی باتوں میں آ جاتا ہوں

کچھ ویسے بھی اس نے مجھ کو صورت بھولی بھالی دی

ورنہ کام تھا میرا تو پھولوں سے رزق کمانے تک

پھر اس نے اک باغ کی میرے ہاتھوں میں رکھوالی دی

دھوپ بڑھی تو وہ بھی اپنے اپنے پاؤں کھینچ گئے

میں نے اپنے حصے کی جن پیڑوں کو ہریالی دی

دل نے میری ایک صدا پر دونوں ہاتھوں دان کیا

جب زنبیل محبت نے جذبات سے مجھ کو خالی دی

تو بھی مان گیا اے دوست کہ دریا صرف ڈبوتا ہے

میرے بارے میں دنیا نے تجھ کو خام خیالی دی

پہلے میری آنکھوں سے سرمایہ چھینا نیندوں کا

بدلے میں پھر ہجر نے میری آنکھوں کو یہ لالی دی

وہ ہی دے گا مجھ کو پھر تعمیر اٹھانے کی ہمت

جس نے حسنؔ ان بام و در کو اتنی خستہ حالی دی

عطا الحسن

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Waise To Is Ghar Ko Usne Chahe Kam KHush-haali Di

Ataul Hasan

waise to is ghar ko us ne chahe kam KHush-haali di
beTa bar-KHurdar diya aur beTi hausle wali di

ghusse mein donon ne ek duje ke hath ko jhaTka tha
aur ab soch rahe hain pahle kis ne kis ko gali di

kuchh main KHud bhi har ek shaKHs ki baaton mein aa jata hun
kuchh waise bhi us ne mujh ko surat bholi-bhaali di

warna kaam tha mera to phulon se rizq kamane tak
phir us ne ek bagh ki mere hathon mein rakhwali di

dhup baDhi to wo bhi apne apne panw khinch gae
main ne apne hisse ki jin peDon ko hariyali di

dil ne meri ek sada par donon hathon dan kiya
jab zambil mohabbat ne jazbaat se mujh ko KHali di

tu bhi man gaya ai dost ki dariya sirf Dubota hai
mere bare mein duniya ne tujh ko KHam-KHayali di

pahle meri aankhon se sarmaya chhina nindon ka
badle mein phir hijr ne meri aankhon ko ye lali di

wo hi dega mujh ko phir tamir uThane ki himmat
jis ne 'hasan' in baam-o-dar ko itni KHasta-haali di

(777) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Waise To Is Ghar Ko Usne Chahe Kam KHush-haali Di written by Ataul Hasan at UrduPoint. Waise To Is Ghar Ko Usne Chahe Kam KHush-haali Di is one of the masterpieces written by Ataul Hasan. You can also find the complete poetry collection of Ataul Hasan by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Ataul Hasan' above.

Waise To Is Ghar Ko Usne Chahe Kam KHush-haali Di is a widely read Urdu Ghazal. If you like Waise To Is Ghar Ko Usne Chahe Kam KHush-haali Di, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.