Kise Dimagh Ki Uljhe Tilism-e-zat Ke Sath, Urdu Ghazal By Ataurrahman Qazi

Kise Dimagh Ki Uljhe Tilism-e-zat Ke Sath is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Ataurrahman Qazi. Kise Dimagh Ki Uljhe Tilism-e-zat Ke Sath comes under the Love, Sad, Social category of Urdu Ghazal. You can read Kise Dimagh Ki Uljhe Tilism-e-zat Ke Sath on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

کسے دماغ کہ الجھے طلسم ذات کے ساتھ

عطاالرحمٰن قاضی

کسے دماغ کہ الجھے طلسم ذات کے ساتھ

الجھ رہا ہوں ابھی تیری کائنات کے ساتھ

میں دید بان ازل سے جدھر بھی دیکھتا تھا

شکستہ جام پڑا ہے عجائبات کے ساتھ

نکل گیا تھا میں اک روز خاک داں کی طرف

گزر رہی ہے شب و روز حادثات کے ساتھ

میں ڈوب ڈوب گیا بے نشاں بھنور میں کہیں

خلا میں رقص کناں گھومتی پرات کے ساتھ

محیط آب میں ہر سانس ڈولتی نیا

غم وجود جڑا ہے غم حیات کے ساتھ

وہی حرم ہے وہی بت وہی پجاری ہیں

وہی دلوں کا تعلق ہے سومنات کے ساتھ

بکھر بکھر گیا اک موج رائیگاں کی طرح

کسی کی جیت کا نشہ کسی کی مات کے ساتھ

خزاں کی شال میں لپٹے شجر پہ پروانے

نمو کے گیت لکھے رنگ ممکنات کے ساتھ

قدم قدم پہ الجھنا وہ بے سبب دل کا

ہے اب تو روز کا معمول پانچ سات کے ساتھ

ہزار تلخ سہی پھر بھی خوش نوا ہے بہت

کسی چراغ کا لہجہ سیاہ رات کے ساتھ

سنا ہے موسم بے رنگیٔ زماں یکسر

بدل گیا ہے تری چشم التفات کے ساتھ

میں اب بھی ماضی کی گلیوں میں جا نکلتا ہوں

پڑی ہے ٹاٹ پہ تختی قلم دوات کے ساتھ

بہت دنوں وہ رہا ہے اسی کھنڈر میں مقیم

سو رکھ دیا ہے یہ دل بھی نوادرات کے ساتھ

یہ بستیوں پہ عجب وحشتوں کا موسم ہے

نمو پزیر ہوا ہے تغیرات کے ساتھ

میں کنج ذات سے نکلا تو یوں ہوا کہ عطاؔ

کچھ اور پھیل گیا غم بھی شش جہات کے ساتھ

عطاالرحمٰن قاضی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Kise Dimagh Ki Uljhe Tilism-e-zat Ke Sath

Ataurrahman Qazi

kise dimagh ki uljhe tilism-e-zat ke sath
ulajh raha hun abhi teri kaenat ke sath

main did-ban azal se jidhar bhi dekhta tha
shikasta jam paDa hai ajaibaat ke sath

nikal gaya tha main ek roz KHak-dan ki taraf
guzar rahi hai shab o roz hadsat ke sath

main Dub Dub gaya be-nishan bhanwar mein kahin
KHala mein raqs-kunan ghumti praat ke sath

muhit-e-ab mein har sans Dolti nayya
gham-e-wajud juDa hai gham-e-hayat ke sath

wahi haram hai wahi but wahi pujari hain
wahi dilon ka talluq hai somnat ke sath

bikhar bikhar gaya ek mauj-e-raegan ki tarah
kisi ki jit ka nashsha kisi ki mat ke sath

KHizan ki shaal mein lipTe shajar pe parwane
numu ke git likhe rang-e-mumkinat ke sath

qadam qadam pe ulajhna wo be-sabab dil ka
hai ab to roz ka mamul panch sat ke sath

hazar talKH sahi phir bhi KHush-nawa hai bahut
kisi charagh ka lahja siyah raat ke sath

suna hai mausam-e-be-rangi-e-zaman yaksar
badal gaya hai teri chashm-e-iltifat ke sath

main ab bhi mazi ki galiyon mein ja nikalta hun
paDi hai TaT pe taKHti qalam dawat ke sath

bahut dinon wo raha hai isi khanDar mein muqim
so rakh diya hai ye dil bhi nawadiraat ke sath

ye bastiyon pe ajab wahshaton ka mausam hai
numu-pazir hua hai taghayyuraat ke sath

main kunj-e-zat se nikla to yun hua ki 'ata'
kuchh aur phail gaya gham bhi shash-jahat ke sath

(1073) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Kise Dimagh Ki Uljhe Tilism-e-zat Ke Sath written by Ataurrahman Qazi at UrduPoint. Kise Dimagh Ki Uljhe Tilism-e-zat Ke Sath is one of the masterpieces written by Ataurrahman Qazi. You can also find the complete poetry collection of Ataurrahman Qazi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Ataurrahman Qazi' above.

Kise Dimagh Ki Uljhe Tilism-e-zat Ke Sath is a widely read Urdu Ghazal. If you like Kise Dimagh Ki Uljhe Tilism-e-zat Ke Sath, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.