Sarsabz Ye Jangal Chahat Ka Wo Dasht-e-wafa Hai Viran Bhi, Urdu Ghazal By Athar Shakeel

Sarsabz Ye Jangal Chahat Ka Wo Dasht-e-wafa Hai Viran Bhi is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Athar Shakeel. Sarsabz Ye Jangal Chahat Ka Wo Dasht-e-wafa Hai Viran Bhi comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Sarsabz Ye Jangal Chahat Ka Wo Dasht-e-wafa Hai Viran Bhi on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

سر سبز یہ جنگل چاہت کا وہ دشت وفا ہے ویراں بھی

اطہر شکیل

سر سبز یہ جنگل چاہت کا وہ دشت وفا ہے ویراں بھی

ہے دل کو سکوں بھی دیکھ کے یہ اور ذہن رسا ہے حیراں بھی

یہ بھی ہے قرینہ اک شاید ہستی میں توازن رکھنے کا

کچھ راز عیاں کر لوگوں پر کچھ حال مگر رکھ پنہاں بھی

اک ضرب انا نے زیر و زبر کر ڈالا محبت کا محور

اب اس سے پناہ رب چاہیں تھے جس پہ کبھی ہم نازاں بھی

اس دور ذہانت میں جب جب دستور اماں پر بات ہوئی

آیا ہے کٹہرے میں اکثر تب ساتھ ہمارے یزداں بھی

اک لحظہ ستم اک لمحہ کرم ہم پر ہے یہ احساں ان کا سدا

راضی بھی ہوں اک ساعت میں مگر ہو جاتے ہیں پل میں نالاں بھی

ہے عقل سمجھنے سے قاصر پہلو یہ تمدن کا اب تک

ملبوس جہاں ہیں مرد بہت عورت ہے وہیں پر عریاں بھی

اپنا تو نہیں کچھ لوگوں کو یہ دیکھ کے حیرانی ہے بہت

ہیں جس سے گلے شکوے بھی ہمیں رہتے ہیں اسی پر نازاں بھی

شاعر ہیں عمل کے میداں سے کچھ دور تو اس میں حیرت کیوں

غزلوں کی زمینوں پر ان کو دیکھو گے بہت سرگرداں بھی

اس سے بھی پتہ چلتا ہے کہ ہاں خلاق دو عالم ہے کوئی

ہر شے ہے الگ پہچان لیے اک نظم ہے سب میں یکساں بھی

اب ہم میں نہیں وہ جوش جنوں اس میں بھی نہیں وہ بات کہ جو

راحت کا سبب تھے دل کے لیے جاناں نہیں ذکر جاناں بھی

قسمت کے اندھیرے میں بھی رہی آنکھوں میں مری اک کاہکشاں

تاریک نہیں کر پائے کبھی خوابوں کو سواد‌‌ زنداں بھی

نفرت سے محبت سے اکثر ہم نے ہی لکھی تقدیر تری

ہم نے ہی زمین گل تجھ کو جنت بھی کیا اور ویراں بھی

تکرار ستم گر سے بہتر رخصت لو یہاں سے اطہرؔ جی

یہ کام تو تم کر سکتے ہو یہ کام لگے ہے آساں بھی

اطہر شکیل

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Sarsabz Ye Jangal Chahat Ka Wo Dasht-e-wafa Hai Viran Bhi

Athar Shakeel

sarsabz ye jangal chahat ka wo dasht-e-wafa hai viran bhi
hai dil ko sukun bhi dekh ke ye aur zehn-e-rasa hai hairan bhi

ye bhi hai qarina ek shayad hasti mein tawazun rakhne ka
kuchh raaz ayan kar logon par kuchh haal magar rakh pinhan bhi

ek zarb ana ne zer-o-zabar kar Dala mohabbat ka mehwar
ab us se panah rab chahen the jis pe kabhi hum nazan bhi

is daur-e-zehanat mein jab jab dastur-e-aman par baat hui
aaya hai kaTahre mein aksar tab sath hamare yazdan bhi

ek lahza sitam ek lamha karam hum par hai ye ehsan un ka sada
raazi bhi hun ek saat mein magar ho jate hain pal mein nalan bhi

hai aql samajhne se qasir pahlu ye tamaddun ka ab tak
malbus jahan hain mard bahut aurat hai wahin par uryan bhi

apna to nahin kuchh logon ko ye dekh ke hairani hai bahut
hain jis se gile-shikwe bhi hamein rahte hain usi par nazan bhi

shair hain amal ke maidan se kuchh dur to us mein hairat kyun
ghazlon ki zaminon par un ko dekhoge bahut sargardan bhi

us se bhi pata chalta hai ki han KHallaq-e-do-alam hai koi
har shai hai alag pahchan liye ek nazm hai sab mein yaksan bhi

ab hum mein nahin wo josh-e-junun us mein bhi nahin wo baat ki jo
rahat ka sabab the dil ke liye jaanan nahin zikr-e-jaanan bhi

qismat ke andhere mein bhi rahi aankhon mein meri ek kahkashan
tarik nahin kar pae kabhi KHwabon ko sawad-e-zindan bhi

nafrat se mohabbat se aksar hum ne hi likhi taqdir teri
hum ne hi zamin-e-gul tujh ko jannat bhi kiya aur viran bhi

takrar-e-sitamgar se behtar ruKHsat lo yahan se 'athar'-ji
ye kaam to tum kar sakte ho ye kaam lage hai aasan bhi

(924) ووٹ وصول ہوئے

You can read Sarsabz Ye Jangal Chahat Ka Wo Dasht-e-wafa Hai Viran Bhi written by Athar Shakeel at UrduPoint. Sarsabz Ye Jangal Chahat Ka Wo Dasht-e-wafa Hai Viran Bhi is one of the masterpieces written by Athar Shakeel. You can also find the complete poetry collection of Athar Shakeel by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Athar Shakeel' above.

Sarsabz Ye Jangal Chahat Ka Wo Dasht-e-wafa Hai Viran Bhi is a widely read Urdu Ghazal. If you like Sarsabz Ye Jangal Chahat Ka Wo Dasht-e-wafa Hai Viran Bhi, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.