Us Sitamgar Se Aashnai Ki, Urdu Ghazal By Azeem Hyderabadi

Us Sitamgar Se Aashnai Ki is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Azeem Hyderabadi. Us Sitamgar Se Aashnai Ki comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Us Sitamgar Se Aashnai Ki on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

اس ستم گر سے آشنائی کی

عظیم حیدرآبادی

اس ستم گر سے آشنائی کی

عمر بھر جس نے بے وفائی کی

ہنستے ہنستے ہی توڑنا دل کا

اک ادا ہے یہ دل ربائی کی

میں کہ خاموش عشق کا طالب

ان کو عادت ہے خود نمائی کی

درد و غم اور کرب کا عالم

ہائے کیا رات تھی جدائی کی

ان کا دیدار گرچہ مشکل تھا

جرأت شوق نے رسائی کی

نہ چلا گرد کارواں تک میں

انتہا ہے شکستہ پائی کی

جب اسیری میں قرب ہو ان کا

کون خواہش کرے رہائی کی

رنج و غم میں بھی مطمئن رکھنا

یہ تو ہے شان کبریائی کی

غم کی تاریک وادیوں میں عظیمؔ

دل کے زخموں نے رہنمائی کی

عظیم حیدرآبادی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Us Sitamgar Se Aashnai Ki

Azeem Hyderabadi

us sitamgar se aashnai ki
umr bhar jis ne bewafai ki

hanste hanste hi toDna dil ka
ek ada hai ye dilrubai ki

main ki KHamosh ishq ka talib
un ko aadat hai KHud-numai ki

dard-o-gham aur karb ka aalam
hae kya raat thi judai ki

un ka didar garche mushkil tha
jurat-e-shauq ne rasai ki

na chala gard-e-karwan tak main
intiha hai shikasta-pai ki

jab asiri mein qurb ho un ka
kaun KHwahish kare rihai ki

ranj-o-gham mein bhi mutmain rakhna
ye to hai shan kibriyai ki

gham ki tarik wadiyon mein 'azim'
dil ke zaKHmon ne rahnumai ki

(374) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Us Sitamgar Se Aashnai Ki written by Azeem Hyderabadi at UrduPoint. Us Sitamgar Se Aashnai Ki is one of the masterpieces written by Azeem Hyderabadi. You can also find the complete poetry collection of Azeem Hyderabadi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Azeem Hyderabadi' above.

Us Sitamgar Se Aashnai Ki is a widely read Urdu Ghazal. If you like Us Sitamgar Se Aashnai Ki, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.