Gham Se Jab Bhi Aashnai Ho Gai, Urdu Ghazal By Azeem Malik

Gham Se Jab Bhi Aashnai Ho Gai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Azeem Malik. Gham Se Jab Bhi Aashnai Ho Gai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Gham Se Jab Bhi Aashnai Ho Gai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

غم سے جب بھی آشنائی ہو گئی

عظیم ملک

غم سے جب بھی آشنائی ہو گئی

یہ جو دنیا تھی پرائی ہو گئی

اب دلوں کے درمیاں دیوار ہے

یہ خطا تو میرے بھائی ہو گئی

وقت کے حاکم کا ٹوٹے گا ستم

آج مجھ سے لب کشائی ہو گئی

سن کے بھی وہ سن نہ پایا مدعا

مفت میری جگ ہنسائی ہو گئی

آنکھ سے پوچھا پتہ تیرا کبھی

دل کی جانب رہنمائی ہو گئی

میں خدا کے گھر میں جا کے چھپ گیا

موت کی پھر بھی رسائی ہو گئی

آئینے کے سامنے آیا جو میں

ہر گنہ کی رونمائی ہو گئی

میں ہی بس تنہا کھڑا تھا اک طرف

دوسری جانب خدائی ہو گئی

عظیم ملک

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Gham Se Jab Bhi Aashnai Ho Gai

Azeem Malik

gham se jab bhi aashnai ho gai
ye jo duniya thi parai ho gai

ab dilon ke darmiyan diwar hai
ye KHata to mere bhai ho gai

waqt ke hakim ka TuTega sitam
aaj mujh se lab-kushai ho gai

sun ke bhi wo sun na paya muddaa
muft meri jag-hansai ho gai

aankh se puchha pata tera kabhi
dil ki jaanib rahnumai ho gai

main KHuda ke ghar mein ja ke chhup gaya
maut ki phir bhi rasai ho gai

aaine ke samne aaya jo main
har gunah ki ru-numai ho gai

main hi bas tanha khaDa tha ek taraf
dusri jaanib KHudai ho gai

(739) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Gham Se Jab Bhi Aashnai Ho Gai written by Azeem Malik at UrduPoint. Gham Se Jab Bhi Aashnai Ho Gai is one of the masterpieces written by Azeem Malik. You can also find the complete poetry collection of Azeem Malik by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Azeem Malik' above.

Gham Se Jab Bhi Aashnai Ho Gai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Gham Se Jab Bhi Aashnai Ho Gai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.