Bas Ranj Ki Hai Dastan Unwan Hazaron, Urdu Ghazal By Azhar Hashmi

Bas Ranj Ki Hai Dastan Unwan Hazaron is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Azhar Hashmi. Bas Ranj Ki Hai Dastan Unwan Hazaron comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Bas Ranj Ki Hai Dastan Unwan Hazaron on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

بس رنج کی ہے داستاں عنوان ہزاروں

اظہر ہاشمی

بس رنج کی ہے داستاں عنوان ہزاروں

جینے کے لئے مر گئے انسان ہزاروں

وہ جس نے مری روح کو درد آشنا رکھا

ہیں مجھ پہ اسی زخم کے احسان ہزاروں

جس خاک سے کہتے ہو وفا ہم نہیں کرتے

سوئے ہیں اسی خاک میں سلطان ہزاروں

اک رسم تکبر ہے سو اس دور کے انساں

جیبوں میں لئے پھرتے ہیں پہچان ہزاروں

لازم ہے مسافت میں بھٹک جانا ہمارا

ہم تنہا مسافر کے ہیں سامان ہزاروں

اب ہے فقط اندیشۂ حالات میسر

ہم دل میں کبھی رکھتے تھے ارمان ہزاروں

یہ شہر سخن ہے یہاں ہر موڑ پہ اظہرؔ

ہوشیار بنے بیٹھے ہیں نادان ہزاروں

اظہر ہاشمی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Bas Ranj Ki Hai Dastan Unwan Hazaron

Azhar Hashmi

bas ranj ki hai dastan unwan hazaron
jine ke liye mar gae insan hazaron

wo jis ne meri ruh ko dard-ashna rakkha
hain mujh pe usi zaKHm ke ehsan hazaron

jis KHak se kahte ho wafa hum nahin karte
soe hain usi KHak mein sultan hazaron

ek rasm-e-takabbur hai so is daur ke insan
jebon mein liye phirte hain pahchan hazaron

lazim hai masafat mein bhaTak jaana hamara
hum tanha musafir ke hain saman hazaron

ab hai faqat andesha-e-haalat mayassar
hum dil mein kabhi rakhte the arman hazaron

ye shahr-e-suKHan hai yahan har moD pe 'azhar'
hoshiyar bane baiThe hain nadan hazaron

(742) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Bas Ranj Ki Hai Dastan Unwan Hazaron written by Azhar Hashmi at UrduPoint. Bas Ranj Ki Hai Dastan Unwan Hazaron is one of the masterpieces written by Azhar Hashmi. You can also find the complete poetry collection of Azhar Hashmi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Azhar Hashmi' above.

Bas Ranj Ki Hai Dastan Unwan Hazaron is a widely read Urdu Ghazal. If you like Bas Ranj Ki Hai Dastan Unwan Hazaron, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.