Soz-e-dil-o-jaan Aur Hai Saz-e-dil-o-jaan Aur, Urdu Ghazal By Aziz Badayuni

Soz-e-dil-o-jaan Aur Hai Saz-e-dil-o-jaan Aur is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Aziz Badayuni. Soz-e-dil-o-jaan Aur Hai Saz-e-dil-o-jaan Aur comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Soz-e-dil-o-jaan Aur Hai Saz-e-dil-o-jaan Aur on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

سوز دل و جاں اور ہے ساز دل و جاں اور

عزیز بدایونی

سوز دل و جاں اور ہے ساز دل و جاں اور

احساس بیاں اور ہے ادراک نہاں اور

دنیائے محبت میں زمیں اور زماں اور

اک شعلہ بجاں نغمہ کناں راز نہاں اور

شاعر کا جہاں اور ہے شاطر کا جہاں اور

مفہوم محبت کا یہاں اور وہاں اور

اے چاند کی مفلوج فضاؤں کے مسافر

ہے منتظر دید ابھی بزم جہاں اور

خود محو تماشا ہیں مہ و مہر و کواکب

ہے آدم خاکی تری منزل کا نشاں اور

کچھ دور ہجوم غم جاناں سے نکل جا

اے اشک رواں شعلۂ جاں برق تپاں اور

یہ نزہت و نکہت کا تبسم وہ تصادم

یہ ابر کرم اور ہے آہوں کا دھواں اور

تجھ کو غم جاناں غم دوراں سے بدل دوں

ہے عزم جواں اور زماں اور سماں اور

سرمایۂ ہستی تھا کبھی جوش تغزل

احساس جنوں اور تھا انداز بیاں اور

کیا یہ بھی زمانہ کا کوئی طرفہ اثر ہے

ہے تیری عزیزؔ آج زباں اور بیاں اور

عزیز بدایونی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Soz-e-dil-o-jaan Aur Hai Saz-e-dil-o-jaan Aur

Aziz Badayuni

soz-e-dil-o-jaan aur hai saz-e-dil-o-jaan aur
ehsas-e-bayan aur hai idrak-e-nihan aur

duniya-e-mohabbat mein zamin aur zaman aur
ek shoala-ba-jaan naghma-kunan raaz-e-nihan aur

shair ka jahan aur hai shatir ka jahan aur
mafhum mohabbat ka yahan aur wahan aur

ai chand ki mafluj fazaon ke musafir
hai muntazir-e-did abhi bazm-e-jahan aur

KHud mahw-e-tamasha hain mah-o-mehr-o-kawakib
hai aadam-e-KHaki teri manzil ka nishan aur

kuchh dur hujum-e-gham-e-jaanan se nikal ja
ai ashk-e-rawan shoala-e-jaan barq-e-tapan aur

ye nuzhat-o-nikhat ka tabassum wo tasadum
ye abr-e-karam aur hai aahon ka dhuan aur

tujh ko gham-e-jaanan gham-e-dauran se badal dun
hai azm-e-jawan aur zaman aur saman aur

sarmaya-e-hasti tha kabhi josh-e-taghazzul
ehsas-e-junun aur tha andaz-e-bayan aur

kya ye bhi zamane ka koi turfa asar hai
hai teri 'aziz' aaj zaban aur bayan aur

(683) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Soz-e-dil-o-jaan Aur Hai Saz-e-dil-o-jaan Aur written by Aziz Badayuni at UrduPoint. Soz-e-dil-o-jaan Aur Hai Saz-e-dil-o-jaan Aur is one of the masterpieces written by Aziz Badayuni. You can also find the complete poetry collection of Aziz Badayuni by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Aziz Badayuni' above.

Soz-e-dil-o-jaan Aur Hai Saz-e-dil-o-jaan Aur is a widely read Urdu Ghazal. If you like Soz-e-dil-o-jaan Aur Hai Saz-e-dil-o-jaan Aur, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.