Waiz Butan-e-dair Se Nafrat Na Kijiye, Urdu Ghazal By Aziz Lakhnavi

Waiz Butan-e-dair Se Nafrat Na Kijiye is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Aziz Lakhnavi. Waiz Butan-e-dair Se Nafrat Na Kijiye comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Waiz Butan-e-dair Se Nafrat Na Kijiye on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

واعظ بتان دیر سے نفرت نہ کیجیئے

عزیز لکھنوی

واعظ بتان دیر سے نفرت نہ کیجیئے

کج بحثیٔ مجاز و حقیقت نہ کیجیے

اٹھیے نہ آپ بزم سے غصہ میں اس قدر

جاتا ہوں میں حضور قیامت نہ کیجیئے

یاد آ ہی جاتا ہے کبھی ناصح کا قول بھی

سب کیجیئے جہاں میں محبت نہ کیجیئے

بیداد اور اس پہ یہ تاکید الحذر

آ جائے دم لبوں پہ شکایت نہ کیجیئے

زندوں میں اب شمار نہیں حضرت عزیزؔ

کہتے تھے آپ سے کہ محبت نہ کیجیئے

عزیز لکھنوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Waiz Butan-e-dair Se Nafrat Na Kijiye

Aziz Lakhnavi

waiz butan-e-dair se nafrat na kijiye
kaj-bahsi-e-majaz-o-haqiqat na kijiye

uThiye na aap bazm se ghusse mein is qadar
jata hun main huzur qayamat na kijiye

yaad aa hi jata hai kabhi naseh ka qaul bhi
sab kijiye jahan mein mohabbat na kijiye

bedad aur us pe ye takid al-hazar
aa jae dam labon pe shikayat na kijiye

zindon mein ab shumar nahin hazrat-e-'aziz'
kahte the aap se ki mohabbat na kijiye

(712) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Waiz Butan-e-dair Se Nafrat Na Kijiye written by Aziz Lakhnavi at UrduPoint. Waiz Butan-e-dair Se Nafrat Na Kijiye is one of the masterpieces written by Aziz Lakhnavi. You can also find the complete poetry collection of Aziz Lakhnavi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Aziz Lakhnavi' above.

Waiz Butan-e-dair Se Nafrat Na Kijiye is a widely read Urdu Ghazal. If you like Waiz Butan-e-dair Se Nafrat Na Kijiye, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.