Maujon Mein Talatum Hai Sahil Pe Bhi Tufan Hai, Urdu Ghazal By Azmat Bhopali

Maujon Mein Talatum Hai Sahil Pe Bhi Tufan Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Azmat Bhopali. Maujon Mein Talatum Hai Sahil Pe Bhi Tufan Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Maujon Mein Talatum Hai Sahil Pe Bhi Tufan Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

موجوں میں تلاطم ہے ساحل پہ بھی طوفاں ہے

عظمت بھوپالی

موجوں میں تلاطم ہے ساحل پہ بھی طوفاں ہے

اب اپنے سفینے کا اللہ نگہباں ہے

ہر چند محیط دل تاریکیٔ ہجراں ہے

شعلہ تری یادوں کا سینہ میں فروزاں ہے

دیکھا ہی نہیں تم نے کیا رنگ بہاراں ہے

سرخی ہے جو پھولوں پر وہ خون شہیداں ہے

تخریب کے پردے میں تعمیر بھی پنہاں ہے

تاریک فضاؤں میں اک شمع فروزاں ہے

کیا غم جو اندھیرا ہے دنیا کی فضاؤں میں

جو داغ تمنا ہے خورشید درخشاں ہے

کھلتے نہیں لب میرے احساس حمیت سے

مرتا ہوں کہ حال دل چہرے سے نمایاں ہے

خوابوں کے دریچوں سے جھانکا ہے بہاروں نے

اب دامن صحرا بھی دامان گلستاں ہے

ممکن ہے صبا خوشبو صحرا میں اڑا لائے

ہرچند گھٹاؤں کا رخ سوئے گلستاں ہے

کیا خوف تجھے آخر اے راہ رو ہستی

کہتے ہیں اجل جس کو ہستی کی نگہباں ہے

چھائے گی خوشی اک دن غم خانۂ ہستی پر

غم تو مری دنیا میں کچھ دیر کا مہماں ہے

اب آپ کی مرضی ہے جو چاہیں ہمیں سمجھیں

دل آپ کا شیدا ہے دل آپ پہ نازاں ہے

تصویر تری اب تک پھرتی ہے نگاہوں میں

ہر یاد تری اب تک نزدیک رگ جاں ہے

اٹھ کر ترے کوچے سے اب جائے کہاں عظمتؔ

دنیا بھی بیاباں ہے عقبیٰ بھی بیاباں ہے

عظمت بھوپالی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Maujon Mein Talatum Hai Sahil Pe Bhi Tufan Hai

Azmat Bhopali

maujon mein talatum hai sahil pe bhi tufan hai
ab apne safine ka allah nigahban hai

har chand muhit-e-dil tariki-e-hijran hai
shoala teri yaadon ka sine mein farozan hai

dekha hi nahin tum ne kya rang-e-bahaaran hai
surKHi hai jo phulon par wo KHun-e-shahidan hai

taKHrib ke parde mein tamir bhi pinhan hai
tarik fazaon mein ek shama farozan hai

kya gham jo andhera hai duniya ki fazaon mein
jo dagh-e-tamanna hai KHurshid-e-daraKHshan hai

khulte nahin lab mere ehsas-e-hamiyyat se
marta hun ki haal-e-dil chehre se numayan hai

KHwabon ke darichon se jhanka hai bahaaron ne
ab daman-e-sahra bhi daman-e-gulistan hai

mumkin hai saba KHushbu sahra mein uDa lae
har-chand ghaTaon ka ruKH su-e-gulistan hai

kya KHauf tujhe aaKHir ai rah-raw-e-hasti
kahte hain ajal jis ko hasti ki nigahban hai

chhaegi KHushi ek din gham-KHana-e-hasti par
gham to meri duniya mein kuchh der ka mehman hai

ab aap ki marzi hai jo chahen hamein samjhen
dil aap ka shaida hai dil aap pe nazan hai

taswir teri ab tak phirti hai nigahon mein
har yaad teri ab tak nazdik-e-rag-e-jaan hai

uTh kar tere kuche se ab jae kahan 'azmat'
duniya bhi bayaban hai uqba bhi bayaban hai

(555) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Maujon Mein Talatum Hai Sahil Pe Bhi Tufan Hai written by Azmat Bhopali at UrduPoint. Maujon Mein Talatum Hai Sahil Pe Bhi Tufan Hai is one of the masterpieces written by Azmat Bhopali. You can also find the complete poetry collection of Azmat Bhopali by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Azmat Bhopali' above.

Maujon Mein Talatum Hai Sahil Pe Bhi Tufan Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Maujon Mein Talatum Hai Sahil Pe Bhi Tufan Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.