Bahut Dinon Se Hamara KHwabon Se Koi Bhi Rabta Nahin Hai, Urdu Ghazal By Azra Naqvi

Bahut Dinon Se Hamara KHwabon Se Koi Bhi Rabta Nahin Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Azra Naqvi. Bahut Dinon Se Hamara KHwabon Se Koi Bhi Rabta Nahin Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Bahut Dinon Se Hamara KHwabon Se Koi Bhi Rabta Nahin Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

بہت دنوں سے ہمارا خوابوں سے کوئی بھی رابطہ نہیں ہے

عذرا نقوی

بہت دنوں سے ہمارا خوابوں سے کوئی بھی رابطہ نہیں ہے

کچھ ایسے کار جہاں میں کھوئے کہ اپنا بھی کچھ پتہ نہیں ہے

یہ ناامیدی کی انتہا ہے کہ آگہی کی ہے کوئی منزل

یہ دل کو کیا عارضہ ہوا ہے اسے کسی سے گلہ نہیں ہے

ہمیشہ سچ بولنے کی عادت ہے کیا یہ سچ بولتے رہیں گے

قدم قدم پر ہے آزمائش سہل کوئی مرحلہ نہیں ہے

ہم ان کی ہر بات مان لیتے تو زندگی چین سے گزرتی

بس عزت نفس روکتی ہے انا کا یہ مسئلہ نہیں ہے

بس اک پریشاں ہجوم کے ساتھ ہم بھی شامل ہیں چل رہے ہیں

نہ کوئی نقش قدم سلامت کہیں کوئی راستہ نہیں ہے

یہ شام اتنی اجاڑ کیوں ہے نیا کوئی حادثہ ہوا ہے

یہ خوں کی سرخی شفق کے رنگوں میں گھل گئی بے وجہ نہیں ہے

ستارۂ صبح ڈھونڈتے ہیں غبار آلودہ موسموں میں

نظر سے اوجھل تو ہو گیا ہے مگر ابھی گم شدہ نہیں ہے

جو مل گیا وہ نصیب سمجھا جو مل نہ پایا سراب جانا

گزار لیں جو بھی زندگی ہے کہ کل کا کوئی پتہ نہیں ہے

یوں ہی بھٹکتے پھریں گے کب تک خود اپنے اندر تلاش کر لیں

جہاں مکمل سکوں میسر ہو ایسی کوئی جگہ نہیں ہے

عذرا نقوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Bahut Dinon Se Hamara KHwabon Se Koi Bhi Rabta Nahin Hai

Azra Naqvi

bahut dinon se hamara KHwabon se koi bhi rabta nahin hai
kuchh aise kar-e-jahan mein khoe ki apna bhi kuchh pata nahin hai

ye na-umidi ki intiha hai ki aagahi ki hai koi manzil
ye dil ko kya aariza hua hai ise kisi se gila nahin hai

hamesha sach bolne ki aadat hai kya ye sach bolte rahenge
qadam qadam par hai aazmaish sahal koi marhala nahin hai

hum un ki har baat man lete to zindagi chain se guzarti
bas izzat-e-nafs rokti hai ana ka ye masala nahin hai

bas ek pareshan hujum ke sath hum bhi shamil hain chal rahe hain
na koi naqsh-e-qadam salamat kahin koi rasta nahin hai

ye sham itni ujaD kyun hai naya koi hadisa hua hai
ye KHun ki surKHi shafaq ke rangon mein ghul gai be-wajah nahin hai

sitara-e-subh DhunDte hain ghubar-aluda mausamon mein
nazar se ojhal to ho gaya hai magar abhi gum-shuda nahin hai

jo mil gaya wo nasib samjha jo mil na paya sarab jaana
guzar len jo bhi zindagi hai ki kal ka koi pata nahin hai

yunhi bhaTakte phirenge kab tak KHud apne andar talash kar len
jahan mukammal sukun mayassar ho aisi koi jagah nahin hai

(794) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Bahut Dinon Se Hamara KHwabon Se Koi Bhi Rabta Nahin Hai written by Azra Naqvi at UrduPoint. Bahut Dinon Se Hamara KHwabon Se Koi Bhi Rabta Nahin Hai is one of the masterpieces written by Azra Naqvi. You can also find the complete poetry collection of Azra Naqvi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Azra Naqvi' above.

Bahut Dinon Se Hamara KHwabon Se Koi Bhi Rabta Nahin Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Bahut Dinon Se Hamara KHwabon Se Koi Bhi Rabta Nahin Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.