Zindagi Ka Hai Ye Bhi Koi Dhang, Urdu Ghazal By Badar Jamali

Zindagi Ka Hai Ye Bhi Koi Dhang is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Badar Jamali. Zindagi Ka Hai Ye Bhi Koi Dhang comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Zindagi Ka Hai Ye Bhi Koi Dhang on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

زندگی کا ہے یہ بھی کوئی ڈھنگ

بدر جمالی

زندگی کا ہے یہ بھی کوئی ڈھنگ

نہ کوئی آرزو نہ کوئی امنگ

ہوش کا طور یا خرد کا رنگ

عاشقی کے لئے ہیں دونوں ننگ

عقل حیراں ہے اور فکر ہے دنگ

جلوہ اور وہ بھی سر بہ سر بے رنگ

صلح کل عشق کا ہر اک انداز

حسن کی ہر ادا پیام جنگ

ابھی جیتے ہیں اہرمن زادے

ابھی برپا ہے خیر و شر کی جنگ

اللہ اللہ یہ حسن کا عالم

پھول جیسے کھلے ہوں رنگا رنگ

قہقہے ان کے ساغروں کی کھنک

مسکراہٹ طلوع صبح کا رنگ

کتنی رنگین ہے غزل تیری

بندھ گیا بزم میں جمالیؔ رنگ

بدر جمالی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Zindagi Ka Hai Ye Bhi Koi Dhang

Badar Jamali

zindagi ka hai ye bhi koi Dhang
na koi aarzu na koi umang

hosh ka tur ya KHirad ka rang
aashiqi ke liye hain donon nang

aql hairan hai aur fikr hai dang
jalwa aur wo bhi sar-ba-sar be-rang

sulh-e-kul ishq ka har ek andaz
husn ki har ada payam-e-jang

abhi jite hain ahrman-zade
abhi barpa hai KHair-o-shar ki jang

allah allah ye husn ka aalam
phul jaise khile hon ranga-rang

qahqahe un ke sagharon ki khanak
muskurahaT tulu-e-subh ka rang

kitni rangin hai ghazal teri
bandh gaya bazm mein 'jamali' rang

(610) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Zindagi Ka Hai Ye Bhi Koi Dhang written by Badar Jamali at UrduPoint. Zindagi Ka Hai Ye Bhi Koi Dhang is one of the masterpieces written by Badar Jamali. You can also find the complete poetry collection of Badar Jamali by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Badar Jamali' above.

Zindagi Ka Hai Ye Bhi Koi Dhang is a widely read Urdu Ghazal. If you like Zindagi Ka Hai Ye Bhi Koi Dhang, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.