Bagh-e-dil Mein Koi Ghuncha Na Khila Tere Baad, Urdu Ghazal By Badnam Nazar

Bagh-e-dil Mein Koi Ghuncha Na Khila Tere Baad is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Badnam Nazar. Bagh-e-dil Mein Koi Ghuncha Na Khila Tere Baad comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Bagh-e-dil Mein Koi Ghuncha Na Khila Tere Baad on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

باغ دل میں کوئی غنچہ نہ کھلا تیرے بعد

بدنام نظر

باغ دل میں کوئی غنچہ نہ کھلا تیرے بعد

بھول کر آئی نہ اس سمت صبا تیرے بعد

تیری زلفوں کی مہک تیرے بدن کی خوشبو

ڈھونڈھتی پھرتی ہے اک پگلی ہوا تیرے بعد

وہی میلے وہی پنگھٹ وہی جھولے وہی گیت

گاؤں میں پر کوئی تجھ سا نہ ملا تیرے بعد

اندھی راتوں کی سیاہی مرا مقدور ہوئی

کوئی تارا مرے آنگن نہ گرا تیرے بعد

دے دیا اپنے دل و جان کا اک اک قطرہ

اور کیا چاہتی ہے تیری صدا تیرے بعد

جسم میرا تھا مگر روح کا مالک تھا اور

کیسی عیاری کا یہ راز کھلا تیرے بعد

حد امکان تلک کرنیں وفا کی بکھریں

جسم میرا کئی زخموں سے سجا تیرے بعد

تو ہی غالب نہیں اک جور فلک کا مارا

میرے گھر آیا ہے طوفان بلا تیرے بعد

کسی خوش فہمی میں رہتا ہے تو بدنام نظرؔ

کون رکھے گا تجھے یاد بھلا تیرے بعد

بدنام نظر

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Bagh-e-dil Mein Koi Ghuncha Na Khila Tere Baad

Badnam Nazar

bagh-e-dil mein koi ghuncha na khila tere baad
bhul kar aai na is samt saba tere baad

teri zulfon ki mahak tere badan ki KHushbu
DhunDhti phirti hai ek pagli hawa tere baad

wahi mele wahi panghaT wahi jhule wahi git
ganw mein par koi tujh sa na mila tere baad

andhi raaton ki syahi mera maqdur hui
koi tara mere aangan na gira tere baad

de diya apne dil-o-jaan ka ek ek qatra
aur kya chahti hai teri sada tere baad

jism mera tha magar ruh ka malik tha aur
kaisi ayyari ka ye raaz khula tere baad

had-e-imkan talak kirnen wafa ki bikhren
jism mera kai zaKHmon se saja tere baad

tu hi ghaalib nahin ek jaur-e-falak ka mara
mere ghar aaya hai tufan-e-bala tere baad

kisi KHush-fahmi mein rahta hai tu badnam-'nazar'
kaun rakkhega tujhe yaad bhala tere baad

(1277) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Bagh-e-dil Mein Koi Ghuncha Na Khila Tere Baad written by Badnam Nazar at UrduPoint. Bagh-e-dil Mein Koi Ghuncha Na Khila Tere Baad is one of the masterpieces written by Badnam Nazar. You can also find the complete poetry collection of Badnam Nazar by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Badnam Nazar' above.

Bagh-e-dil Mein Koi Ghuncha Na Khila Tere Baad is a widely read Urdu Ghazal. If you like Bagh-e-dil Mein Koi Ghuncha Na Khila Tere Baad, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.