Ba-sad-fareb Use Kya Se Kya Dikhai De, Urdu Ghazal By Badr E Alam Khan Azmi

Ba-sad-fareb Use Kya Se Kya Dikhai De is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Badr E Alam Khan Azmi. Ba-sad-fareb Use Kya Se Kya Dikhai De comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Ba-sad-fareb Use Kya Se Kya Dikhai De on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

بصد فریب اسے کیا سے کیا دکھائی دے

بدر عالم خاں اعظمی

بصد فریب اسے کیا سے کیا دکھائی دے

کہ ابتدا میں جسے انتہا دکھائی دے

کبھی تو کوہ گراں تک نظر نہیں آئے

کبھی ہوا کا مجھے نقش پا دکھائی دے

تمام رشتوں کی بنیاد ہلنے لگتی ہے

جب آئنے میں کوئی دوسرا دکھائی دے

تلاش کرتی ہے دنیا اسی کے نقش قدم

وہی جو بھیڑ میں سب سے جدا دکھائی دے

یہ ہے ہماری سیاست کہ دل پڑوسی کا

ہمارے دل میں دھڑکتا ہوا دکھائی دے

فلک کو تاکتے اس نے گزار دیں صدیاں

اسے امید تھی شاید خدا دکھائی دے

یہاں فرات ہے گنگا ہے اور جمنا بھی

قدم قدم پہ مگر کربلا دکھائی دے

یہ شہر شہر خموشاں ہے اہل دانش کا

کہیں تو ایک کوئی سر پھرا دکھائی دے

یہ وقت کا ہے تقاضہ کہ ہے فریب نظر

کہ بیٹا باپ کے قد سے بڑا دکھائی دے

نہ جانے کیسا نشہ ہے غزل کہ تاج محل

کبھی ردیف کبھی قافیہ دکھائی دے

بدر عالم خاں اعظمی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Ba-sad-fareb Use Kya Se Kya Dikhai De

Badr E Alam Khan Azmi

ba-sad-fareb use kya se kya dikhai de
ki ibtida mein jise intiha dikhai de

kabhi to koh-e-giran tak nazar nahin aae
kabhi hawa ka mujhe naqsh-e-pa dikhai de

tamam rishton ki buniyaad hilne lagti hai
jab aaine mein koi dusra dikhai de

talash karti hai duniya usi ke naqsh-e-qadam
wahi jo bhiD mein sab se juda dikhai de

ye hai hamari siyasat ki dil paDosi ka
hamare dil mein dhaDakta hua dikhai de

falak ko takte us ne guzar din sadiyan
use umid thi shayad KHuda dikhai de

yahan furaat hai ganga hai aur jamuna bhi
qadam qadam pe magar karbala dikhai de

ye shahr shahr-e-KHamoshan hai ahl-e-danish ka
kahin to ek koi sar-phira dikhai de

ye waqt ka hai taqaza ki hai fareb-e-nazar
ki beTa bap ke qad se baDa dikhai de

na jaane kaisa nasha hai ghazal ki taj-mahal
kabhi radif kabhi qafiya dikhai de

(463) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Ba-sad-fareb Use Kya Se Kya Dikhai De written by Badr E Alam Khan Azmi at UrduPoint. Ba-sad-fareb Use Kya Se Kya Dikhai De is one of the masterpieces written by Badr E Alam Khan Azmi. You can also find the complete poetry collection of Badr E Alam Khan Azmi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Badr E Alam Khan Azmi' above.

Ba-sad-fareb Use Kya Se Kya Dikhai De is a widely read Urdu Ghazal. If you like Ba-sad-fareb Use Kya Se Kya Dikhai De, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.