KHud-agahi Ne Lahu Mein Dubo Diya Mujhko, Urdu Ghazal By Badr E Alam Khan Azmi

KHud-agahi Ne Lahu Mein Dubo Diya Mujhko is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Badr E Alam Khan Azmi. KHud-agahi Ne Lahu Mein Dubo Diya Mujhko comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read KHud-agahi Ne Lahu Mein Dubo Diya Mujhko on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

خود آگہی نے لہو میں ڈبو دیا مجھ کو

بدر عالم خاں اعظمی

خود آگہی نے لہو میں ڈبو دیا مجھ کو

شعور ذات کی ایسی ملی سزا مجھ کو

مثال گوہر نایاب زیر آب رہا

یہ آرزو تھی سمندر اچھالتا مجھ کو

میں ٹمٹماتا ہوا تیرگی سے لڑتا رہا

تلاش کرتی رہی سر پھری ہوا مجھ کو

وہ بے شمار دفینے نہ یوں پڑے رہتے

اگر زمانہ سلیقے سے کھودتا مجھ کو

ملا کسی کو سکوت دوام و بے خبری

لہو میں ڈوبا ہوا یہ قلم ملا مجھ کو

جبیں پہ کیا کیا تحریر خامۂ حق نے

کہ آگہی بھی سمجھتی ہے سر پھرا مجھ کو

میں ہارتا ہی گیا زندگی کی ہر بازی

شکست دیتی رہی عمر بھر انا مجھ کو

چٹخ رہا ہے بدن اور دھواں دھواں ہے دل

کسی نے دی ہے سلگنے کی بد دعا مجھ کو

قصور میرا یہی تھا کہ بے قصور تھا میں

امیر شہر نے پھر بھی جلا دیا مجھ کو

یہاں وہاں سر بازار خوں بہا میرا

عجیب ہے کہ چکانا ہے خوں بہا مجھ کو

اگر میں درد سے چیخوں تو ہے اداکاری

دکھاؤں زخم تو کہتے ہیں خود نما مجھ کو

میں اپنے ہاتھ میں اپنا بریدہ سر لے کر

چلا تو روک رہی تھی کوئی صدا مجھ کو

کبھی چراغ جلاؤں تو کانپ جاتا ہوں

ہر ایک آگ سے لگتا ہے خوف سا مجھ کو

بہ فضل آبلہ پائی بہ فیض تشنہ لبی

سراب ڈھونڈھ رہا ہے برہنہ پا مجھ کو

ابھی محل کے در و بام نا مکمل ہیں

یہ کس نے خواب سے آ کر جگا دیا مجھ کو

ہر انکشاف پہ حیرت زدہ کھڑا رہتا

اگر وہ بیٹھ کے فرصت میں سوچتا مجھ کو

نہ جانے کب سے ہے اس پار دیکھنے کی ہوس

فصیل ذات سے اوپر ذرا اٹھا مجھ کو

بدر عالم خاں اعظمی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

KHud-agahi Ne Lahu Mein Dubo Diya Mujhko

Badr E Alam Khan Azmi

KHud-agahi ne lahu mein Dubo diya mujh ko
shuur-e-zat ki aisi mili saza mujh ko

misal-e-gauhar-e-nayab zer-e-ab raha
ye aarzu thi samundar uchhaalta mujh ko

main TimTimata hua tirgi se laDta raha
talash karti rahi sar-phiri hawa mujh ko

wo be-shumar dafine na yun paDe rahte
agar zamana saliqe se khodta mujh ko

mila kisi ko sukut-e-dawam o be-KHabari
lahu mein Duba hua ye qalam mila mujh ko

jabin pe kya kiya tahrir KHama-e-haq ne
ki aagahi bhi samajhti hai sar-phira mujh ko

main haarta hi gaya zindagi ki har bazi
shikast deti rahi umr bhar ana mujh ko

chaTaKH raha hai badan aur dhuan dhuan hai dil
kisi ne di hai sulagne ki baddua mujh ko

qusur mera yahi tha ki be-qusur tha main
amir-e-shahr ne phir bhi jala diya mujh ko

yahan wahan sar-e-bazar KHun baha mera
ajib hai ki chukana hai KHun-baha mujh ko

agar main dard se chiKHun to hai adakari
dikhaun zaKHm to kahte hain KHud-numa mujh ko

main apne hath mein apna burida sar le kar
chala to rok rahi thi koi sada mujh ko

kabhi charagh jalaun to kanp jata hun
har ek aag se lagta hai KHauf sa mujh ko

ba-fazl-e-abla-pai ba-faiz-e-tishna-labi
sarab DhunDh raha hai barahna-pa mujh ko

abhi mahal ke dar-o-baam na-mukammal hain
ye kis ne KHwab se aa kar jaga diya mujh ko

har inkishaf pe hairat-zada khaDa rahta
agar wo baiTh ke fursat mein sochta mujh ko

na jaane kab se hai us par dekhne ki hawas
fasil-e-zat se upar zara uTha mujh ko

(510) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read KHud-agahi Ne Lahu Mein Dubo Diya Mujhko written by Badr E Alam Khan Azmi at UrduPoint. KHud-agahi Ne Lahu Mein Dubo Diya Mujhko is one of the masterpieces written by Badr E Alam Khan Azmi. You can also find the complete poetry collection of Badr E Alam Khan Azmi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Badr E Alam Khan Azmi' above.

KHud-agahi Ne Lahu Mein Dubo Diya Mujhko is a widely read Urdu Ghazal. If you like KHud-agahi Ne Lahu Mein Dubo Diya Mujhko, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.