Dur Ka Safar, Urdu Nazam By Balraj Komal

Dur Ka Safar is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Balraj Komal. Dur Ka Safar comes under the Love, Sad, Social category of Urdu Nazam. You can read Dur Ka Safar on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

دور کا سفر

بلراج کومل

میں نان سوختہ کا ذائقہ

اتارتا ہوں

روز و شب

زبان پر

کہ اس کی ہمدمی میں

دوستی میں

عمر کے نشیب میں

اگر میں ڈھل سکوں

تو فصل آفتاب کا

وہ برگ زرد بن سکوں

جو دائرے کی انتہا پہ صرف

موسموں کے خواب دیکھتا ہوں

صبح و شام سوچتا ہوں

آرزو

فریب کار شاہدہ

کہاں ملی تھی اور کون سے حسین موڑ تک

چلے گی میرے ساتھ میرے ساتھ

جوئے آب جوئے مے

ردائے خاک

دور کے سفر کے لوگ

بد گماں ساعتوں کے شہر

میں چلوں گا

میں دشت و کہسار کی

اداس ہجرتوں کو

ننھی منی لوریاں سناؤں گا

میں جنگلوں کی

سنسناہتوں کے پار جاؤں گا

بلراج کومل

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Dur Ka Safar

Balraj Komal

main nan-e-soKHta ka zaiqa
utarta hun
roz-o-shab
zaban par
ki us ki hamdami mein
dosti mein
umr ke nasheb mein
agar main Dhal sakun
to fasl aaftab ka
wo barg-e-zard ban sakun
jo daere ki intiha pe sirf
mausamon ke KHwab dekhta hun
subh-o-sham sochta hun
aarzu
fareb-kar shahida
kahan mili thi aur kaun se hasin moD tak
chalegi mere sath mere sath
ju-e-ab ju-e-mai
rida-e-KHak
dur ke safar ke log
bad-guman saaton ke shahr
main chalunga
main dasht-o-kohsar ki
udas hijraton ko
nannhi-munni loriyan sunaunga
main jangalon ki
sansanahaTon ke par jaunga

(660) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Dur Ka Safar written by Balraj Komal at UrduPoint. Dur Ka Safar is one of the masterpieces written by Balraj Komal. You can also find the complete poetry collection of Balraj Komal by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Balraj Komal' above.

Dur Ka Safar is a widely read Urdu Nazam. If you like Dur Ka Safar, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.