Main, Ek Aur Main, Urdu Nazam By Balraj Komal

Main, Ek Aur Main is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Balraj Komal. Main, Ek Aur Main comes under the Love, Sad category of Urdu Nazam. You can read Main, Ek Aur Main on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

میں، ایک اور میں

بلراج کومل

مجھ سے اچھا نہیں

کچھ برا بھی نہیں

ٹھیک مجھ سا بھی شاید نہیں

مجھ کو محسوس ہوتا ہے کچھ مختلف بھی نہیں

وہ جو اک اجنبی آج آیا ہے اس شہر میں

عین ممکن ہے پیدا یہیں وہ ہوا ہو

جواں ہو گیا تو کسی دوسرے دیس میں جا بسا

ناروا موسموں کے تھپیڑوں کی یلغار میں

کچھ فسردہ و مغموم بکھرا ہوا

لوٹ آیا ہو اک روز اپنے پرانے اسی شہر میں

یہ بھی ممکن ہے وہ

ایک دشمن قبیلے کا کوئی سفیر عداوت یا دہشت ہو یا پھر کوئی

ہجرتوں کے تسلسل کا واماندہ رہ رو

گھڑی دو گھڑی کے لیے میرے اس شہر میں رک گیا ہو

وہ اک بے گھری سے کسی دوسری بے گھری میں یہاں آ گیا ہو

وہ مفرور قاتل ہو ممکن ہے اس شہر کو

کنج محفوظ شاید سمجھتا ہو یہ سوچتا ہو

گزر جائیں گے عافیت سے شب و روز باقی کے اس کے یہاں

میں تو سر سبز و شاداب برسوں جیا لہلہایا اسی خاک پر

جسم اپنا تھا میں

ذہن اپنا تھا میں

خود سے مقدور کے دائرے میں شناسا بھی تھا

حادثہ مجھ پہ گزرا عجب یہ کہ میں

آج اپنی ہی پہچان کے کیسے آزار میں گھر گیا

اب یہاں کون ہوں

نام میرا ہے کیا

کس کا ہم دم ہوں میں

کس کا ہم زاد ہوں

کون میرا ہے ہم زاد چاروں طرف سے امڈتی ہوئی بھیڑ میں

باد مسموم میں

جسم و جاں کو جھلستی ہوئی ریگ پیکار میں گھر گیا

میں مکافات کے سیل اسرار میں گھر گیا

بلراج کومل

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Main, Ek Aur Main

Balraj Komal

mujh se achchha nahin
kuchh bura bhi nahin
Thik mujh sa bhi shayad nahin
mujh ko mahsus hota hai kuchh muKHtalif bhi nahin
wo jo ek ajnabi aaj aaya hai is shahr mein

ain-mumkin hai paida yahin wo hua ho
jawan ho gaya to kisi dusre des mein ja basa
na-rawa mausamon ke thapeDon ki yalghaar mein
kuchh fasurda o maghmum bikhra hua
lauT aaya ho ek roz apne purane isi shahr mein

ye bhi mumkin hai wo
ek dushman qabile ka koi safir-e-adawat ya dahshat ho ya phir koi
hijraton ke tasalsul ka wamanda rah-rau
ghaDi do ghaDi ke liye mere is shahr mein ruk gaya ho
wo ek be-ghari se kisi dusri be-ghari mein yahan aa gaya ho
wo mafrur qatil ho mumkin hai is shahr ko
kunj-e-mahfuz shayad samajhta ho ye sochta ho
guzar jaenge aafiyat se shab o roz baqi ke us ke yahan

main to sar-sabz-o-shadab barson jiya lahlahaya isi KHak par
jism apna tha main
zehn apna tha main
KHud se maqdur ke daere mein shanasa bhi tha
hadsa mujh pe guzra ajab ye ki main
aaj apni hi pahchan ke kaise aazar mein ghir gaya

ab yahan kaun hun
nam mera hai kya
kis ka ham-dam hun main
kis ka ham-zad hun
kaun mera hai ham-zad chaaron taraf se umaDti hui bhiD mein
baad-e-masmum mein
jism o jaan ko jhulasti hui reg-e-paikar mein ghar gaya
main mukafat ke sail-e-asrar main ghar gaya

(620) ووٹ وصول ہوئے

You can read Main, Ek Aur Main written by Balraj Komal at UrduPoint. Main, Ek Aur Main is one of the masterpieces written by Balraj Komal. You can also find the complete poetry collection of Balraj Komal by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Balraj Komal' above.

Main, Ek Aur Main is a widely read Urdu Nazam. If you like Main, Ek Aur Main, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.