Ye Zard Bachche, Urdu Nazam By Balraj Komal

Ye Zard Bachche is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Balraj Komal. Ye Zard Bachche comes under the Love, Sad category of Urdu Nazam. You can read Ye Zard Bachche on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

یہ زرد بچے

بلراج کومل

گھروں کی رونق

یہ زرد بچے

پڑھیں لکھیں گے جوان ہوں گے

معاش کی فکر ان کی قسمت

تلاش فردا حیات ان کی

یہ رہ گزاروں پہ اپنے موہوم خواب لے کر پھرا کریں گے

یہ گھر بنائیں گے شادیانے بجائیں گے آنے والے رنگیں دنوں کی خاطر

یہ چند لقموں کی زندگی کا مآل سمجھیں گے حسب دستور

عمر بھر ان کو انگلیوں پر گنا کریں گے

یہ میرا حصہ

یہ تیرا حصہ

پھر ایک دن

یہ بھی زرد بچوں کے باپ ہوں گے

اور ان کی خاطر دعا کریں گے

دراز ہو ان کی عمر دیکھیں یہ سو بہاریں

بلراج کومل

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Ye Zard Bachche

Balraj Komal

gharon ki raunaq
ye zard bachche
paDhen likhenge jawan honge
maash ki fikr in ki qismat
talash-e-farda hayat in ki
ye rahguzaron pe apne mauhum KHwab le kar phira karenge
ye ghar banaenge shadyane bajaenge aane wale rangin dinon ki KHatir
ye chand luqmon ki zindagi ka maal samjhenge hasb-e-dastur
umr bhar un ko ungliyon par gina karenge
ye mera hissa
ye tera hissa
phir ek din
ye bhi zard bachchon ke bap honge
aur un ki KHatir dua karenge
daraaz ho in ki umr dekhen ye sau bahaaren

(845) ووٹ وصول ہوئے

You can read Ye Zard Bachche written by Balraj Komal at UrduPoint. Ye Zard Bachche is one of the masterpieces written by Balraj Komal. You can also find the complete poetry collection of Balraj Komal by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Balraj Komal' above.

Ye Zard Bachche is a widely read Urdu Nazam. If you like Ye Zard Bachche, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.