Dil Jo Ummid-war Hota Hai, Urdu Ghazal By Basheeruddin Raaz

Dil Jo Ummid-war Hota Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Basheeruddin Raaz. Dil Jo Ummid-war Hota Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Dil Jo Ummid-war Hota Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

دل جو امیدوار ہوتا ہے

بشیر الدین راز

دل جو امیدوار ہوتا ہے

تیر غم کا شکار ہوتا ہے

جب ترا انتظار ہوتا ہے

دل مرا بے قرار ہوتا ہے

یہ ہی فصل جنوں کی ہے تمہید

پیرہن تار تار ہوتا ہے

آنکھ ملتے ہی اس ستم گر سے

تیر سینے کے پار ہوتا ہے

مسکراہٹ لبوں پہ ہے ان کے

دل مرا اشک بار ہوتا ہے

اس کا کرتے ہیں اعتبار کہ جو

قابل اعتبار ہوتا ہے

اٹھ کے پہلو سے جا رہا ہے کوئی

کیا یہ پروردگار ہوتا ہے

کیا بتاؤں تری جدائی میں

جو مرا حال زار ہوتا ہے

شام غم انتظار میں ان کے

موت کا انتظار ہوتا ہے

ان کے جانے کا نام سن کر رازؔ

کچھ عجب حال زار ہوتا ہے

بشیر الدین راز

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Dil Jo Ummid-war Hota Hai

Basheeruddin Raaz

dil jo ummid-war hota hai
tir-e-gham ka shikar hota hai

jab tera intizar hota hai
dil mera be-qarar hota hai

ye hi fasl-e-junun ki hai tamhid
pairahan tar tar hota hai

aankh milte hi us sitamgar se
tir sine ke par hota hai

muskurahaT labon pe hai un ke
dil mera ashk-bar hota hai

us ka karte hain e'tibar ki jo
qabil-e-e'tibar hota hai

uTh ke pahlu se ja raha hai koi
kya ye parwardigar hota hai

kya bataun teri judai mein
jo mera haal-e-zar hota hai

sham-e-gham intizar mein un ke
maut ka intizar hota hai

un ke jaane ka nam sun kar 'raaz'
kuchh ajab haal-e-zar hota hai

(990) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Dil Jo Ummid-war Hota Hai written by Basheeruddin Raaz at UrduPoint. Dil Jo Ummid-war Hota Hai is one of the masterpieces written by Basheeruddin Raaz. You can also find the complete poetry collection of Basheeruddin Raaz by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Basheeruddin Raaz' above.

Dil Jo Ummid-war Hota Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Dil Jo Ummid-war Hota Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.