Dil Ka Maqsum Tha Mahw-e-gham-e-jaanan Hona, Urdu Ghazal By Bashir Farooq

Dil Ka Maqsum Tha Mahw-e-gham-e-jaanan Hona is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Bashir Farooq. Dil Ka Maqsum Tha Mahw-e-gham-e-jaanan Hona comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Dil Ka Maqsum Tha Mahw-e-gham-e-jaanan Hona on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

دل کا مقسوم تھا محو غم جاناں ہونا

بشیر فاروق

دل کا مقسوم تھا محو غم جاناں ہونا

اسی آئینے سے سیکھے کوئی حیراں ہونا

اپنی ہی انجمن شوق میں ہو نغمہ سرا

تنگ ہے غیر کی محفل میں غزل خواں ہونا

زندگی کیا ہے تری یاد ترا ذکر جمیل

بندگی کیا ہے ترے نام پہ قرباں ہونا

دل یہ کہتا ہے پشیمان محبت ہو جا

درد کہتا ہے نہ منت کش درماں ہونا

ان سے اتنا نہ ہوا پرسش غم ہی کرتے

ہم سے دیکھا نہ گیا جن کا پریشاں ہونا

مجھ کو خوش آ نہ سکا غیرت دینی سے فرار

ان کو راس آ گیا غارت گر ایماں ہونا

عاشقی ضبط ہے اور ضبط ہے رعنائی زیست

عشق کی شان نہیں چاک گریباں ہونا

مجھ کو ان شوخ نگاہوں نے بنایا کافر

جن کو منظور نہ تھا میرا مسلماں ہونا

ہائے اس اشک جگر سوز کی قسمت فاروقؔ

جس کی قسمت نہ ہو پلکوں پہ فروزاں ہونا

بشیر فاروق

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Dil Ka Maqsum Tha Mahw-e-gham-e-jaanan Hona

Bashir Farooq

dil ka maqsum tha mahw-e-gham-e-jaanan hona
usi aaine se sikhe koi hairan hona

apni hi anjuman-e-shauq mein ho naghma-sara
tang hai ghair ki mahfil mein ghazal-KHwan hona

zindagi kya hai teri yaad tera zikr-e-jamil
bandagi kya hai tere nam pe qurban hona

dil ye kahta hai pasheman-e-mohabbat ho ja
dard kahta hai na minnat-kash-e-darman hona

un se itna na hua pursish-e-gham hi karte
hum se dekha na gaya jin ka pareshan hona

mujh ko KHush aa na saka ghairat-e-dini se farar
un ko ras aa gaya ghaarat-gar-e-iman hona

aashiqi zabt hai aur zabt hai ranai-e-zist
ishq ki shan nahin chaak-gareban hona

mujh ko un shoKH nigahon ne banaya kafir
jin ko manzur na tha mera musalman hona

hae us ashk-e-jigar-soz ki qismat 'faruq'
jis ki qismat na ho palkon pe farozan hona

(1096) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Dil Ka Maqsum Tha Mahw-e-gham-e-jaanan Hona written by Bashir Farooq at UrduPoint. Dil Ka Maqsum Tha Mahw-e-gham-e-jaanan Hona is one of the masterpieces written by Bashir Farooq. You can also find the complete poetry collection of Bashir Farooq by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Bashir Farooq' above.

Dil Ka Maqsum Tha Mahw-e-gham-e-jaanan Hona is a widely read Urdu Ghazal. If you like Dil Ka Maqsum Tha Mahw-e-gham-e-jaanan Hona, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.