Charagh Usne Bujha Bhi Diya Jala Bhi Diya, Urdu Ghazal By Bashiruddin Ahmad Dehlvi

Charagh Usne Bujha Bhi Diya Jala Bhi Diya is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Bashiruddin Ahmad Dehlvi. Charagh Usne Bujha Bhi Diya Jala Bhi Diya comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Charagh Usne Bujha Bhi Diya Jala Bhi Diya on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

چراغ اس نے بجھا بھی دیا جلا بھی دیا

بشیر الدین احمد دہلوی

چراغ اس نے بجھا بھی دیا جلا بھی دیا

یہ میری قبر پہ منظر نیا دکھا بھی دیا

یہ چھیڑ کیا ہے یہ کیا مجھ سے دل لگی ہے کوئی

جگایا نیند سے جاگا تو پھر سلا بھی دیا

ادھر تھا لطف و کرم ان کا اس طرف تھا عتاب

چراغ امید کا روشن کیا بجھا بھی دیا

یہ شوخیاں نئی دیکھیں تمہاری چتون میں

کہ پردہ رخ پہ لیا اور پھر اٹھا بھی دیا

ادھر لگاؤ ادھر برہمی کے ہیں آثار

مجھے پھنسا بھی لیا اور پھر چھڑا بھی دیا

نکل گئے مری آنکھوں سے سیکڑوں آنسو

خزانہ جمع کیا اور پھر لٹا بھی دیا

نیا ہے حسن کے بازار کا اتار چڑھاؤ

چڑھایا سر پہ نگاہوں سے پھر گرا بھی دیا

ذرا تو پاس طلب عاشقوں کا تم کرتے

بلایا پاس بھی پھر پاس سے ہٹا بھی دیا

یہ ان کا کھیل تو دیکھو کہ ایک کاغذ پر

لکھا بھی نام مرا اور پھر مٹا بھی دیا

اگرچہ راہ محبت ہے تنگ و تار مگر

اسی کے ساتھ ہمیں عقل کا دیا بھی دیا

بشیرؔ سینگ کٹا کر ملے ہیں بچھڑوں میں

بنے جوان بڑھاپے کا غم بھلا بھی دیا

بشیر الدین احمد دہلوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Charagh Usne Bujha Bhi Diya Jala Bhi Diya

Bashiruddin Ahmad Dehlvi

charagh us ne bujha bhi diya jala bhi diya
ye meri qabr pe manzar naya dikha bhi diya

ye chheD kya hai ye kya mujh se dil-lagi hai koi
jagaya nind se jaga to phir sula bhi diya

udhar tha lutf-o-karam un ka is taraf tha itab
charagh umid ka raushan kiya bujha bhi diya

ye shoKHiyan nai dekhin tumhaari chitwan mein
ki parda ruKH pe liya aur phir uTha bhi diya

udhar lagaw idhar barhami ke hain aasar
mujhe phansa bhi liya aur phir chhuDa bhi diya

nikal gae meri aankhon se saikaDon aansu
KHazana jama kiya aur phir luTa bhi diya

naya hai husn ke bazar ka utar-chaDhaw
chaDhaya sar pe nigahon se phir gira bhi diya

zara to pas-e-talab aashiqon ka tum karte
bulaya pas bhi phir pas se haTa bhi diya

ye un ka khel to dekho ki ek kaghaz par
likha bhi nam mera aur phir miTa bhi diya

agarche rah-e-mohabbat hai tang-o-tar magar
isi ke sath hamein aql ka diya bhi diya

bashir sing kaTa kar mile hain bachhDon mein
bane jawan buDhape ka gham bhula bhi diya

(1170) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Charagh Usne Bujha Bhi Diya Jala Bhi Diya written by Bashiruddin Ahmad Dehlvi at UrduPoint. Charagh Usne Bujha Bhi Diya Jala Bhi Diya is one of the masterpieces written by Bashiruddin Ahmad Dehlvi. You can also find the complete poetry collection of Bashiruddin Ahmad Dehlvi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Bashiruddin Ahmad Dehlvi' above.

Charagh Usne Bujha Bhi Diya Jala Bhi Diya is a widely read Urdu Ghazal. If you like Charagh Usne Bujha Bhi Diya Jala Bhi Diya, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.