Is Dharti Ke Tare Hum Hain, Urdu Nazam By Bismillah Adeem

Is Dharti Ke Tare Hum Hain is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Bismillah Adeem. Is Dharti Ke Tare Hum Hain comes under the Love, Sad category of Urdu Nazam. You can read Is Dharti Ke Tare Hum Hain on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

اس دھرتی کے تارے ہم ہیں

بسم اللہ عدیم

یہ معذور بیکس غبی ذہنی بچے

ہیں انساں نہیں کوئی ماٹی کے پتلے

زباں سے ہیں گونگے سماعت سے عاری

بناؤ نہ ان کو سڑک کے بھکاری

ہیں پر پیچ تر ان کی ہستی کے رستے

کہ پر سوز جیسے ہوں بنسی کے نغمے

سراپے کو ان کے نہ بیکار کہنا

یہ ہیں زندگی کا حسیں ایک گہنا

کبھی یہ ہنسائیں کبھی روٹھ جائیں

دلوں سے غموں کی لکیریں مٹائیں

یہ نٹ کھٹ ہٹیلے بہت چلبلے ہیں

اداؤں میں ان کی عجب ولولے ہیں

کٹی انگلیاں ہیں مصور بنیں گے

اپاہج سہی پھر بھی تاجر بنیں گے

محبت کا سینوں میں جذبہ جگاؤ

سماجی فریضے کو اپنے نبھاؤ

یہ اک فرض ایسا کہ راحت ہے اس میں

چھپی ابن آدم کی عظمت ہے اس میں

انہیں غور سے تم گھڑی بھر جو دیکھو

مشیت ہے قدرت کی کچھ اس کو سمجھو

سلوک ان سے رکھو محبت وفا کا

صلہ پاؤ گے تم بھی بے شک جزا کا

انہیں بھول کر نہ کبھی دور رکھنا

عدیمؔ ان ستاروں کو معمور رکھنا

بسم اللہ عدیم

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Is Dharti Ke Tare Hum Hain

Bismillah Adeem

ye mazur bekas ghabi zehni bachche
hain insan nahin koi maTi ke putle
zaban se hain gunge samaat se aari
banao na in ko saDak ke bhikari
hain pur-pech-tar in ki hasti ke raste
ki pur-soz jaise hon bansi ke naghme
sarape ko un ke na be-kar kahna
ye hain zindagi ka hasin ek gahna
kabhi ye hansaen kabhi ruTh jaen
dilon se ghamon ki lakiren miTaen
ye naT-khaT haTile bahut chulbule hain
adaon mein in ki ajab walwale hain
kaTi ungliyan hain musawwir banenge
apahij sahi phir bhi tajir banenge
mohabbat ka sinon mein jazba jagao
samaji farize ko apne nibhao
ye ek farz aisa ki rahat hai is mein
chhupi ibn-e-adam ki azmat hai is mein
inhen ghaur se tum ghaDi bhar jo dekho
mashiyyat hai qudrat ki kuchh is ko samjho
suluk un se rakkho mohabbat wafa ka
sila paoge tum bhi be-shak jaza ka
inhen bhul kar na kabhi dur rakhna
'adim' in sitaron ko mamur rakhna

(750) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Is Dharti Ke Tare Hum Hain written by Bismillah Adeem at UrduPoint. Is Dharti Ke Tare Hum Hain is one of the masterpieces written by Bismillah Adeem. You can also find the complete poetry collection of Bismillah Adeem by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Bismillah Adeem' above.

Is Dharti Ke Tare Hum Hain is a widely read Urdu Nazam. If you like Is Dharti Ke Tare Hum Hain, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.