Agar Dushman Ki ThoDi Si Marammat Aur Ho Jati, Urdu Ghazal By Boom Merathi

Agar Dushman Ki ThoDi Si Marammat Aur Ho Jati is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Boom Merathi. Agar Dushman Ki ThoDi Si Marammat Aur Ho Jati comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Agar Dushman Ki ThoDi Si Marammat Aur Ho Jati on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

اگر دشمن کی تھوڑی سی مرمت اور ہو جاتی

بوم میرٹھی

اگر دشمن کی تھوڑی سی مرمت اور ہو جاتی

تو پھر الو کے پٹھے کو نصیحت اور ہو جاتی

شب وعدہ میں ان کی کمسنی سے ڈر گیا ورنہ

ذرا سی بات پر نازل مصیبت اور ہو جاتی

یہی اچھا ہوا تو نے جو زلفوں کو منڈا ڈالا

نہیں تو تیرے دیوانوں کی حالت اور ہو جاتی

اگر تم نیم عریاں حشر کے میداں میں آ جاتے

قیامت میں پھر اک برپا قیامت اور ہو جاتی

شراب ناب کی کرتا مذمت پھر نہ بھولے سے

جو مے خانہ میں واعظ کی مرمت اور ہو جاتی

نہ ان کی کمسنی سے میں سزا پاتا عدالت سے

جو ان کے آشناؤں کی شہادت اور ہو جاتی

لگا کرتی ہزاروں عاشقوں کو بے خطا پھانسی

حسینوں کی اگر گھر کی عدالت اور ہو جاتی

خطا پیشاب دشمن کا ہوا گھر ان کے پٹنے سے

مزا جب تھا کہ سالے کو اجابت اور ہو جاتی

ہمیں چاروں طرف سے گھیر رکھا ہے گرانی نے

مرے اللہ یہ دنیا سے غارت اور ہو جاتی

اگر بوسہ دیا ہے وصل کا وعدہ بھی کر لیجے

عنایت کی تو تھوڑی سی عنایت اور ہو جاتی

اگر دل کو بچاتا میں نہ زلفوں کے اڑنگے سے

تو دنیا بھر سے لمبی شام فرقت اور ہو جاتی

دعا ہے بومؔ کی یا رب یہ کاٹن ملز کی بابت

ترقی اور ہوتی زیب و زینت اور ہو جاتی

بوم میرٹھی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Agar Dushman Ki ThoDi Si Marammat Aur Ho Jati

Boom Merathi

agar dushman ki thoDi si marammat aur ho jati
to phir ullu ke paThThe ko nasihat aur ho jati

shab-e-wada main un ki kam-sini se Dar gaya warna
zara si baat par nazil musibat aur ho jati

yahi achchha hua tu ne jo zulfon ko munDa Dala
nahin to tere diwanon ki haalat aur ho jati

agar tum nim-uryan hashr ke maidan mein aa jate
qayamat mein phir ek barpa qayamat aur ho jati

sharab-e-nab ki karta mazammat phir na bhule se
jo mai-KHane mein waiz ki marammat aur ho jati

na un ki kam-sini se main saza pata adalat se
jo un ke aashnaon ki shahadat aur ho jati

laga karti hazaron aashiqon ko be-KHata phansi
hasinon ki agar ghar ki adalat aur ho jati

KHata peshab dushman ka hua ghar un ke piTne se
maza jab tha ki sale ko ijabat aur ho jati

hamein chaaron taraf se gher rakkha hai girani ne
mere allah ye duniya se ghaarat aur ho jati

agar bosa diya hai wasl ka wada bhi kar lije
inayat ki to thoDi si inayat aur ho jati

agar dil ko bachata main na zulfon ke aDange se
to duniya bhar se lambi sham-e-furqat aur ho jati

dua hai 'bum' ki yarab ye cotton-mils ki babat
taraqqi aur hoti zeb-o-zinat aur ho jati

(600) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Agar Dushman Ki ThoDi Si Marammat Aur Ho Jati written by Boom Merathi at UrduPoint. Agar Dushman Ki ThoDi Si Marammat Aur Ho Jati is one of the masterpieces written by Boom Merathi. You can also find the complete poetry collection of Boom Merathi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Boom Merathi' above.

Agar Dushman Ki ThoDi Si Marammat Aur Ho Jati is a widely read Urdu Ghazal. If you like Agar Dushman Ki ThoDi Si Marammat Aur Ho Jati, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.