Allah Allah Wasl Ki Shab Is Qadar Eajaz Hai, Urdu Ghazal By Boom Merathi

Allah Allah Wasl Ki Shab Is Qadar Eajaz Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Boom Merathi. Allah Allah Wasl Ki Shab Is Qadar Eajaz Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Allah Allah Wasl Ki Shab Is Qadar Eajaz Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

اللہ اللہ وصل کی شب اس قدر اعجاز ہے

بوم میرٹھی

اللہ اللہ وصل کی شب اس قدر اعجاز ہے

ایک ذرا سی چیز ہے اس پر بھی اتنا ناز ہے

خیر ہو یا رب کے حسن و عشق کا آغاز ہے

اس طرف دل ہے ادھر سسری نگاہ ناز ہے

جب بہار آئی موے پنجرے چمن کو اڑ گیا

اس مصیبت پر بھی اتنی قوت پرواز ہے

چھٹ گئیں نبضیں ہوئے لب بند پتلی پھر گئیں

اور وہ مردود کہتا ہے کہ یہ دم باز ہے

غیر نے مجھ کو ستا کر جیل کی کھائی ہوا

یہ نہ سمجھا تھا کہ اس کا لٹھ بے آواز ہے

جب کہا اس نے کہ اٹھ بے جھٹ میں زندہ ہو گیا

بات کی تو بات ہے اعجاز کا اعجاز ہے

توڑ کر بدنام تم دل کو مرے ہو جاؤ گے

اس میں پوشیدہ محبت کا تمہاری راز ہے

غیر کو لائے ہیں میرے گھر وہ مع بسترے

بھید اس میں بھی کوئی اس میں بھی کوئی راز ہے

عشق میں پیدا نہیں ہوتا ہے سسرا انقلاب

حسن دے جاتا ہے دھوکہ حسن دھوکہ باز ہے

اب کوئی دن بھی بڑھاپا ٹھوکریں کھلوائے گا

حسن ہے چند روزہ جس پہ تم کو ناز ہے

نوچ کر میرے پروں کو کر دیا ہے ڈنڈ منڈ

اب نہ قوے ہے نہ مجھ میں طاقت پرواز ہے

وصل کی شب چار دم چھلے بھی ان کے ساتھ ہیں

یعنی شوخی ہے شرارت ہے حیا ہے ناز ہے

غیر کی کچھ حیثیت بھی آپ کو معلوم ہے

خود ہے چوکیدار بادہ اس کا برفنداز ہے

میری فریاد و فغاں سن کر حرامی نے کہا

یہ اسی الو کے پٹھے بومؔ کی آواز ہے

بوم میرٹھی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Allah Allah Wasl Ki Shab Is Qadar Eajaz Hai

Boom Merathi

allah allah wasl ki shab is qadar eajaz hai
ek zara si chiz hai us par bhi itna naz hai

KHair ho yarab ke husn-o-ishq ka aaghaz hai
is taraf dil hai udhar susari nigah-e-naz hai

jab bahaar aai mue pinjre chaman ko uD gaya
is musibat par bhi itni quwwat-e-parwaz hai

chhuT gain nabzen hue lab band putli phir gain
aur wo mardud kahta hai ki ye dam-baz hai

ghair ne mujh ko sata kar jail ki khai hawa
ye na samjha tha ki us ka laTTh be-awaz hai

jab kaha us ne ki uTh be-jhaT main zinda ho gaya
baat ki to baat hai eajaz ka eajaz hai

toD kar badnam tum dil ko mere ho jaoge
is mein poshida mohabbat ka tumhaari raaz hai

ghair ko lae hain mere ghar wo mae bistare
bhed is mein bhi koi us mein bhi koi raaz hai

ishq mein paida nahin hota hai sasura inqalab
husn de jata hai dhoka husn dhoka-baz hai

ab koi din bhi buDhapa Thokaren khilwaega
husn hai chand roza jis pe tum ko naz hai

noch kar mere paron ko kar diya hai DanD-manD
ab na qawwe hai na mujh mein taqat-e-parwaz hai

wasl ki shab chaar-dam chhalle bhi un ke sath hain
yani shoKHi hai shararat hai haya hai naz hai

ghair ki kuchh haisiyat bhi aap ko malum hai
KHud hai chaukidar baada us ka barfandaz hai

meri fariyaad-o-fughan sun kar harami ne kaha
ye usi ullu-ke-paTThe 'bum' ki aawaz hai

(541) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Allah Allah Wasl Ki Shab Is Qadar Eajaz Hai written by Boom Merathi at UrduPoint. Allah Allah Wasl Ki Shab Is Qadar Eajaz Hai is one of the masterpieces written by Boom Merathi. You can also find the complete poetry collection of Boom Merathi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Boom Merathi' above.

Allah Allah Wasl Ki Shab Is Qadar Eajaz Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Allah Allah Wasl Ki Shab Is Qadar Eajaz Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.