Zulm Sale Ne Kiya Ye Dil-e-dil-gir Ke Sath, Urdu Ghazal By Boom Merathi

Zulm Sale Ne Kiya Ye Dil-e-dil-gir Ke Sath is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Boom Merathi. Zulm Sale Ne Kiya Ye Dil-e-dil-gir Ke Sath comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Zulm Sale Ne Kiya Ye Dil-e-dil-gir Ke Sath on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ظلم سالے نے کیا یہ دل دلگیر کے ساتھ

بوم میرٹھی

ظلم سالے نے کیا یہ دل دلگیر کے ساتھ

رکھ دیا باندھ کے چھپر میں اسے تیر کے ساتھ

غیر کو کرکے رہا یار بھی تدبیر کے ساتھ

دے دیا سنکھیا تھوڑا سا اسے کھیر کے ساتھ

مرشدی جان کا منہ جس نے کیا تھا کالا

آج بھاگی ہے مرا دن بھی اسی پیر کے ساتھ

وصل کا نیم مزہ ہو گیا حاصل مجھ کو

رات بھر سویا لپٹ کر تری تصویر کے ساتھ

کی مقدر کی شکایت تو حرامی نے کہا

تیری تقدیر کا لکھا تری تقدیر کے ساتھ

اس طرح پھرتا ہوں اس شوخ کے پیچھے پیچھے

جیسے اتوار لگا رہتا ہے ہر پیر کے ساتھ

لے کے اس شوخ کو آرام سے چھت پر سویا

غیر کو ڈال دیا باندھ کے شہتیر کے ساتھ

پھر تو حاصل ہو مزہ وصل کا دونا مجھ کو

عقد ہو جائے اگر یار کی ہمشیر کے ساتھ

کمسنی ہی میں ہوا شوق اسیری پیدا

برسوں کھیلا ہوں میں دروازے کی زنجیر کے ساتھ

اس طرح جنبشیں دے دے کے نکالا اس کو

آ گیا دل بھی مرا کھینچ کے ترے تیر کے ساتھ

بومؔ صاحب کا یہی مشغلہ ہے آہٹ پر

دل کو بہلاتا ہے ہر دم تری تصویر کے ساتھ

بوم میرٹھی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Zulm Sale Ne Kiya Ye Dil-e-dil-gir Ke Sath

Boom Merathi

zulm sale ne kiya ye dil-e-dil-gir ke sath
rakh diya bandh ke chhappar mein use tir ke sath

ghair ko karke riha yar bhi tadbir ke sath
de diya sankhiya thoDa sa use khir ke sath

murshidi jaan ka munh jis ne kiya tha kala
aaj bhagi hai mera din bhi usi pir ke sath

wasl ka nim-maza ho gaya hasil mujh ko
raat bhar soya lipaT kar teri taswir ke sath

ki muqaddar ki shikayat to harami ne kaha
teri taqdir ka likha teri taqdir ke sath

is tarah phirta hun us shoKH ke pichhe pichhe
jaise itwar laga rahta hai har pir ke sath

le ke us shoKH ko aaram se chhat par soya
ghair ko Dal diya bandh ke shahtir ke sath

phir to hasil ho maza wasl ka duna mujh ko
aqd ho jae agar yar ki ham-shir ke sath

kam-sini hi mein hua shauq-e-asiri paida
barson khela hun main darwaze ki zanjir ke sath

is tarah jumbishen de de ke nikala us ko
aa gaya dil bhi mera khinch ke tere tir ke sath

'bum' sahab ka yahi mashghala hai aahaT par
dil ko bahlata hai har dam teri taswir ke sath

(744) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Zulm Sale Ne Kiya Ye Dil-e-dil-gir Ke Sath written by Boom Merathi at UrduPoint. Zulm Sale Ne Kiya Ye Dil-e-dil-gir Ke Sath is one of the masterpieces written by Boom Merathi. You can also find the complete poetry collection of Boom Merathi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Boom Merathi' above.

Zulm Sale Ne Kiya Ye Dil-e-dil-gir Ke Sath is a widely read Urdu Ghazal. If you like Zulm Sale Ne Kiya Ye Dil-e-dil-gir Ke Sath, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.