Ek Markaz Pe SimaT Aai Hai Sari Duniya, Urdu Ghazal By Charan Singh Bashar

Ek Markaz Pe SimaT Aai Hai Sari Duniya is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Charan Singh Bashar. Ek Markaz Pe SimaT Aai Hai Sari Duniya comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Ek Markaz Pe SimaT Aai Hai Sari Duniya on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ایک مرکز پہ سمٹ آئی ہے ساری دنیا

چرن سنگھ بشر

ایک مرکز پہ سمٹ آئی ہے ساری دنیا

ہم تماشا ہیں تماشائی ہے ساری دنیا

جشن ہوگا کسی آئینہ صفت کا شاید

سنگ ہاتھوں میں اٹھا لائی ہے ساری دنیا

وہ خدا تو نہیں لیکن ہے خدا کا بندہ

جس کی آواز سے تھرائی ہے ساری دنیا

وہ بھی دنیا کے لیے چھوڑ رہا ہے مجھ کو

میں نے جس کے لیے ٹھکرائی ہے ساری دنیا

کیوں نگاہوں میں کھٹکتا ہے نظام قدرت

کیوں بغاوت پہ اتر آئی ہے ساری دنیا

موت کو دوست بنانا ہی مناسب ہے بشرؔ

زندگی کی تو تمنائی ہے ساری دنیا

چرن سنگھ بشر

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Ek Markaz Pe SimaT Aai Hai Sari Duniya

Charan Singh Bashar

ek markaz pe simaT aai hai sari duniya
hum tamasha hain tamashai hai sari duniya

jashn hoga kisi aaina-sifat ka shayad
sang hathon mein uTha lai hai sari duniya

wo KHuda to nahin lekin hai KHuda ka banda
jis ki aawaz se tharrai hai sari duniya

wo bhi duniya ke liye chhoD raha hai mujh ko
main ne jis ke liye Thukrai hai sari duniya

kyun nigahon mein khaTakta hai nizam-e-qudrat
kyun baghawat pe utar aai hai sari duniya

maut ko dost banana hi munasib hai 'bashar'
zindagi ki to tamannai hai sari duniya

(728) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Ek Markaz Pe SimaT Aai Hai Sari Duniya written by Charan Singh Bashar at UrduPoint. Ek Markaz Pe SimaT Aai Hai Sari Duniya is one of the masterpieces written by Charan Singh Bashar. You can also find the complete poetry collection of Charan Singh Bashar by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Charan Singh Bashar' above.

Ek Markaz Pe SimaT Aai Hai Sari Duniya is a widely read Urdu Ghazal. If you like Ek Markaz Pe SimaT Aai Hai Sari Duniya, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.