Chashm-e-bina Ho To Qaid-e-haram-o-tur Nahin, Urdu Ghazal By Darshan Singh

Chashm-e-bina Ho To Qaid-e-haram-o-tur Nahin is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Darshan Singh. Chashm-e-bina Ho To Qaid-e-haram-o-tur Nahin comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Chashm-e-bina Ho To Qaid-e-haram-o-tur Nahin on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

چشم بینا ہو تو قید حرم و طور نہیں

درشن سنگھ

چشم بینا ہو تو قید حرم و طور نہیں

دیکھنے والی نگاہوں سے وہ مستور نہیں

کون سا گھر ہے جواں جلووں سے پر نور نہیں

اک مرے دل کی ہی دنیا ہے جو معمور نہیں

اپنی ہمت ہی سے پہنچوں گا سر منزل شوق

لوں سہارا میں کسی کا مجھے منظور نہیں

غم جاناں کو بھلا دوں نہ کروں دوست کو یاد

اتنا میں اے غم دوراں ابھی مجبور نہیں

یہ محبت کی ہے قیمت یہ محبت کا صلہ

کہ ہمارے ہی لیے عشق کا دستور نہیں

دونوں عالم کو ڈبو دے جو مے و مینا میں

چشم ساقی کے سوا اور کا مقدور نہیں

مسکرا دو تو مرا غنچہ دل کھل جائے

دل کبھی کھل نہ سکے ایسا بھی رنجور نہیں

تم نہیں پاس مگر ساتھ ہے یادوں کا ہجوم

میں اکیلا نہیں بیکس نہیں مہجور نہیں

آج کچھ شام سے تاریک ہے دل کی محفل

تم نہیں ہو تو وہ رونق نہیں وہ نور نہیں

مجھ میں ہمت ہے کہ میں راز کو افشا نہ کروں

یہ مرا ظرف ہے یہ شیوۂ منصور نہیں

کر سکے گا نہ جدا فاصلۂ وقت و مکاں

دور نظروں سے سہی دل سے مگر دور نہیں

میری تقدیر میں درشنؔ ہیں کسی کے جلوے

شکر صد شکر کہ دنیا مری بے نور نہیں

درشن سنگھ

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Chashm-e-bina Ho To Qaid-e-haram-o-tur Nahin

Darshan Singh

chashm-e-bina ho to qaid-e-haram-o-tur nahin
dekhne wali nigahon se wo mastur nahin

kaun sa ghar hai jawan jalwon se pur-nur nahin
ek mere dil ki hi duniya hai jo mamur nahin

apni himmat hi se pahunchunga sar-e-manzil-e-shauq
lun sahaara main kisi ka mujhe manzur nahin

gham-e-jaanan ko bhula dun na karun dost ko yaad
itna main ai gham-e-dauran abhi majbur nahin

ye mohabbat ki hai qimat ye mohabbat ka sila
ki hamare hi liye ishq ka dastur nahin

donon aalam ko Dubo de jo mai-o-mina mein
chashm-e-saqi ke siwa aur ka maqdur nahin

muskura do to mera ghuncha-dil khil jae
dil kabhi khil na sake aisa bhi ranjur nahin

tum nahin pas magar sath hai yaadon ka hujum
main akela nahin bekas nahin mahjur nahin

aaj kuchh sham se tarik hai dil ki mahfil
tum nahin ho to wo raunaq nahin wo nur nahin

mujh mein himmat hai ki main raaz ko ifsha na karun
ye mera zarf hai ye shewa-e-mansur nahin

kar sakega na juda fasla-e-waqt-o-makan
dur nazron se sahi dil se magar dur nahin

meri taqdir mein 'darshan' hain kisi ke jalwe
shukr sad shukr ki duniya meri be-nur nahin

(603) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Chashm-e-bina Ho To Qaid-e-haram-o-tur Nahin written by Darshan Singh at UrduPoint. Chashm-e-bina Ho To Qaid-e-haram-o-tur Nahin is one of the masterpieces written by Darshan Singh. You can also find the complete poetry collection of Darshan Singh by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Darshan Singh' above.

Chashm-e-bina Ho To Qaid-e-haram-o-tur Nahin is a widely read Urdu Ghazal. If you like Chashm-e-bina Ho To Qaid-e-haram-o-tur Nahin, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.