Waqt Ki Sadiyan, Urdu Nazam By Daud Ghazi

Waqt Ki Sadiyan is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Daud Ghazi. Waqt Ki Sadiyan comes under the Love, Sad category of Urdu Nazam. You can read Waqt Ki Sadiyan on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

وقت کی صدیاں

داؤد غازی

نہ جانے کتنی صدیوں سے زمانہ

مثال موج بہتا آ رہا ہے

سکوں کا رنگ اس کو کب ملا ہے

پریشاں ہے یہ کیوں کس کو پتا ہے

یہ بیتابی ہر اک لمحے کی کیا ہے

کبھی ایسا بھی ہوتا ہے کہ دریا

لئے طوفاں ہزاروں اپنے اندر

سکوں سے پر نظر آتا ہے باہر

کبھی ایسا بھی ہوتا ہے زمانہ

کشاکش سے بھرا ہوتا ہے لیکن

نظر آتا ہے اک نقطے پہ ساکن

زمانہ کب مگر ساکن رہا ہے

کہ چلتا ہی رہا ہے یہ زمانہ

دما دم پے بہ پے لمحہ بہ لمحہ

کبھی ایسا بھی ہوتا ہے کہ راہی

نظر آتا ہے کچھ رکتا ہوا سا

ہراساں مضمحل تھکتا ہوا سا

مگر راہی سفر میں کب رکا ہے

کہ راہی زندگی کا گر رکے گا

یقیناً اپنی منزل پر رکے گا

مگر یہ زندگی تو بے کراں ہے

نگاہ شوق کی منزل کہاں ہے

کہ ہر منزل فقط وہم و گماں ہے

یہ ہستی جہد غم کی داستاں ہے

بظاہر ہے سبک رفتار و کمزور

غنیم شوق ہو مد مقابل

تو اس کا ہر نفس آتش فشاں ہے

ہے یوں تو زندگی کتنی سبک رو

عجب اک ایک لمحے کی تگ و دو

یہ اک لمحہ گزرتا ہی نہیں ہے

مگر جب اس نظر کے سامنے سے

گزرتی ہے خرد بجلی کی صورت

دکھا کر اک انوکھا سا کرشمہ

تو یوں محسوس ہوتا ہے کہ جیسے

زمانہ کتنا آگے جا چکا ہے

زمانہ اور بھی آگے بڑھے گا

لئے باہم سبک رفتار لمحے

گزرتا جائے گا صدیوں کو روندے

خرد کی رہنمائی کے سہارے

داؤد غازی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Waqt Ki Sadiyan

Daud Ghazi

na jaane kitni sadiyon se zamana
misal-e-mauj bahta aa raha hai
sukun ka rang us ko kab mila hai
pareshan hai ye kyun kis ko pata hai
ye betabi har ek lamhe ki kya hai

kabhi aisa bhi hota hai ki dariya
liye tufan hazaron apne andar
sukun se par nazar aata hai bahar

kabhi aisa bhi hota hai zamana
kashakash se bhara hota hai lekin
nazar aata hai ek nuqte pe sakin
zamana kab magar sakin raha hai
ki chalta hi raha hai ye zamana
dama-dam pai-ba-pai lamha-ba-lamha

kabhi aisa bhi hota hai ki rahi
nazar aata hai kuchh rukta hua sa
hirasan muzmahil thakta hua sa
magar rahi safar mein kab ruka hai
ki rahi zindagi ka gar rukega
yaqinan apni manzil par rukega

magar ye zindagi to be-karan hai
nigah-e-shauq ki manzil kahan hai
ki har manzil faqat wahm-o-guman hai
ye hasti jehd-e-gham ki dastan hai

ba-zahir hai subuk raftar-o-kamzor
ghanim-e-shauq ho madd-e-muqabil
to us ka har-nafas aatish-fishan hai
hai yun to zindagi kitni subuk-rau
ajab ek ek lamhe ki tag-o-dau
ye ek lamha guzarta hi nahin hai
magar jab is nazar ke samne se
guzarti hai KHirad bijli ki surat
dikha kar ek anokha sa karishma
to yun mahsus hota hai ki jaise
zamana kitna aage ja chuka hai

zamana aur bhi aage baDhega
liye baham subuk-raftar lamhe
guzarta jaega sadiyon ko raunde
KHirad ki rahnumai ke sahaare

(1257) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Waqt Ki Sadiyan written by Daud Ghazi at UrduPoint. Waqt Ki Sadiyan is one of the masterpieces written by Daud Ghazi. You can also find the complete poetry collection of Daud Ghazi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Daud Ghazi' above.

Waqt Ki Sadiyan is a widely read Urdu Nazam. If you like Waqt Ki Sadiyan, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.