Mushtarka KHwab Ki Qabr Par, Urdu Nazam By Dawood Rizwan

Mushtarka KHwab Ki Qabr Par is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Dawood Rizwan. Mushtarka KHwab Ki Qabr Par comes under the Love, Sad category of Urdu Nazam. You can read Mushtarka KHwab Ki Qabr Par on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

مشترکہ خواب کی قبر پر

داؤد رضوان

رات تیری مری آرزوؤں کا مسکن یہ رات

گھور کالی سیہ بادلوں سے اٹی

تیرے میرے گناہوں ثوابوں

سوالوں جوابوں سے عاری یہ رات

خون کی حدتوں میں دہکتی ہوئی

سارے خوابوں کا ایندھن بناتی ہوئی

رتجگوں کی چتا

جو تری میری آنکھوں میں بھڑکی

بھڑک کے بجھی

ساری عمروں کے دکھ

آتی جاتی ہر اک سانس میں ہیں سنبھالے ہوئے

سانس جو آس کی دوستی کو بھلا بھی چکی

دھیرے دھیرے سمٹتی ہوئی

کن یگوں پر نظر کو جمائے ہوئے

برف ہونے لگی

رات وعدے سبھی اصل کے

جو نہ پورے ہوئے

کیوں کیے

کور آنکھیں بھکاری بنی ہیں

مجسم سوالی بنی ہیں

خموشی کا کاسہ لیے

وصل کی ریز گاری کے ہیں منتظر

چھن چھنن

کوئی آواز کوئی بھی

خوشیوں کے سکوں سے لبریز آواز

آنکھیں سنیں

کیسے لیکن سنیں

سرمئی شام اپنا لبادہ بدل بھی چکی

رات آئی

یہ ڈولی نہیں کچھ جنازے اٹھائے ہوئے

سارے وعدے بھلائے ہوئے

شہر افسوس

ایک ماتم لہو کی روانی میں ہے

راکھ ہی راکھ آنکھوں کے پانی میں ہے

داؤد رضوان

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Mushtarka KHwab Ki Qabr Par

Dawood Rizwan

raat teri meri aarzuon ka maskan ye raat
ghur kali siyah baadalon se aTi
tere mere gunahon sawabon
sawalon jawabon se aari ye raat
KHun ki hiddaton mein dahakti hui
sare KHwabon ka indhan banati hui

ratjagon ki chita
jo teri meri aankhon mein bhaDki
bhaDak ke bujhi
sari umron ke dukh
aati jati har ek sans mein hain sambhaale hue
sans jo aas ki dosti ko bhula bhi chuki
dhire dhire simaTti hui
kin yugon par nazar ko jamae hue
barf hone lagi

raat wade sabhi asal ke
jo na pure hue
kyun kiye
kor aankhen bhikari bani hain
mujassam sawali bani hain
KHamoshi ka kasa liye
wasl ki rezgari ke hain muntazir
chhan chhanan
koi aawaz koi bhi
KHushiyon ke sakun se labrez aawaz
aankhen sunin
kaise lekin sunin

surmai sham apna labaada badal bhi chuki
raat aai
ye Doli nahin kuchh janaze uThae hue
sare wade bhulae hue
shahr-e-afsos
ek matam lahu ki rawani mein hai
rakh hi rakh aankhon ke pani mein hai

(921) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Mushtarka KHwab Ki Qabr Par written by Dawood Rizwan at UrduPoint. Mushtarka KHwab Ki Qabr Par is one of the masterpieces written by Dawood Rizwan. You can also find the complete poetry collection of Dawood Rizwan by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Dawood Rizwan' above.

Mushtarka KHwab Ki Qabr Par is a widely read Urdu Nazam. If you like Mushtarka KHwab Ki Qabr Par, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.