Chhupne Ke Liye To Meri Aankhen Hi Bahut Hain, Urdu Ghazal By Dilnawaz Siddiqi

Chhupne Ke Liye To Meri Aankhen Hi Bahut Hain is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Dilnawaz Siddiqi. Chhupne Ke Liye To Meri Aankhen Hi Bahut Hain comes under the Love, Sad, Heart Broken category of Urdu Ghazal. You can read Chhupne Ke Liye To Meri Aankhen Hi Bahut Hain on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

چھپنے کے لئے تو میری آنکھیں ہی بہت ہیں

دلنواز صدیقی

چھپنے کے لئے تو میری آنکھیں ہی بہت ہیں

منظور نظر سب کے ہوں چاہیں بھی بہت ہیں

صرف اپنے لئے جینے کو جینا نہیں کہتے

اس راہ میں رشتوں کی سرائیں بھی بہت ہیں

ٹوٹے ہوئے وعدوں کی سرنگوں میں گھروں کو

جلتے ہوئے زخموں کی شعاعیں بھی بہت ہیں

ہر شے پہ لگی ہے یہاں نیلام کی بولی

بربادیٔ اخلاق کی راہیں بھی بہت ہیں

ہیں ظلم کے پتھر مرے رستے میں اندھیرے

ٹکرائیں جو آپس میں تو کرنیں بھی بہت ہیں

جھوٹوں کو ڈراتے ہیں انہیں کے در و دیوار

حق پر ہیں اگر ہم تو پناہیں بھی بہت ہیں

بچپن میں مچل پڑنا بھی اک حق تھا ہمارا

اب ایسے مچلنے کی سزائیں بھی بہت ہیں

آزادیٔ بازار میں رونق ہے غضب کی

لیکن یہاں معصوموں کی چیخیں بھی بہت ہیں

ایسے بھی شناساؤں میں ہیں چور کہ جن کے

روزے بھی بہت اور نمازیں بھی بہت ہیں

دلنواز صدیقی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Chhupne Ke Liye To Meri Aankhen Hi Bahut Hain

Dilnawaz Siddiqi

chhupne ke liye to meri aankhen hi bahut hain
manzur-e-nazar sab ke hon chahen bhi bahut hain

sirf apne liye jine ko jina nahin kahte
is rah mein rishton ki saraen bhi bahut hain

TuTe hue wadon ki surangon mein gharon ko
jalte hue zaKHmon ki shuaen bhi bahut hain

har shai pe lagi hai yahan nilam ki boli
barbaadi-e-aKHlaq ki rahen bhi bahut hain

hain zulm ke patthar mere raste mein andhere
Takraen jo aapas mein to kirnen bhi bahut hain

jhuTon ko Daraate hain unhin ke dar-o-diwar
haq par hain agar hum to panahen bhi bahut hain

bachpan mein machal paDna bhi ek haq tha hamara
ab aise machalne ki sazaen bhi bahut hain

aazadi-e-bazar mein raunaq hai ghazab ki
lekin yahan masumon ki chiKHen bhi bahut hain

aise bhi shanasaon mein hain chor ki jin ke
roze bhi bahut aur namazen bhi bahut hain

(1121) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Chhupne Ke Liye To Meri Aankhen Hi Bahut Hain written by Dilnawaz Siddiqi at UrduPoint. Chhupne Ke Liye To Meri Aankhen Hi Bahut Hain is one of the masterpieces written by Dilnawaz Siddiqi. You can also find the complete poetry collection of Dilnawaz Siddiqi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Dilnawaz Siddiqi' above.

Chhupne Ke Liye To Meri Aankhen Hi Bahut Hain is a widely read Urdu Ghazal. If you like Chhupne Ke Liye To Meri Aankhen Hi Bahut Hain, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.