Main Apne Kaam Agar Waqt Par Nahin Karta, Urdu Ghazal By Dinesh Kumar

Main Apne Kaam Agar Waqt Par Nahin Karta is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Dinesh Kumar. Main Apne Kaam Agar Waqt Par Nahin Karta comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Main Apne Kaam Agar Waqt Par Nahin Karta on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

میں اپنے کام اگر وقت پر نہیں کرتا

دنیش کمار

میں اپنے کام اگر وقت پر نہیں کرتا

تو کامیابی کا پربت بھی سر نہیں کرتا

حسین خواب اگر دل میں گھر نہیں کرتا

طویل رات سے میں در گزر نہیں کرتا

سکھا دیا ہے مجھے غم نے زندگی کا ہنر

کسی بھی حال میں اب آنکھ تر نہیں کرتا

گرے زمین پہ دستار سر کے جھکنے سے

میں حکمراں کو سلام اس قدر نہیں کرتا

میں اپنے عزم کی پتوار ساتھ رکھتا ہوں

مرے سفینے پہ طوفاں اثر نہیں کرتا

غرور ساتھ میں چلتا ہے ہر گھڑی اس کے

وہ اب امیر ہے تنہا سفر نہیں کرتا

دیا امید کا تو ہر گھڑی جلائے رکھ

ہر ایک رات کی کیا رب سحر نہیں کرتا

عجب جواب تھا ان کا دنیشؔ سوچیں گے

سنا تھا عشق کوئی سوچ کر نہیں کرتا

دنیش کمار

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Main Apne Kaam Agar Waqt Par Nahin Karta

Dinesh Kumar

main apne kaam agar waqt par nahin karta
to kaamyabi ka parwat bhi sar nahin karta

hasin KHwab agar dil mein ghar nahin karta
tawil raat se main dar-guzar nahin karta

sikha diya hai mujhe gham ne zindagi ka hunar
kisi bhi haal mein ab aankh tar nahin karta

gire zamin pe dastar sar ke jhukne se
main hukmaran ko salam is qadar nahin karta

main apne azm ki patwar sath rakhta hun
mere safine pe tufan asar nahin karta

ghurur sath mein chalta hai har ghaDi us ke
wo ab amir hai tanha safar nahin karta

diya umid ka tu har ghaDi jalae rakh
har ek raat ki kya rab sahar nahin karta

ajab jawab tha un ka 'dinesh' sochenge
suna tha ishq koi soch kar nahin karta

(708) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Main Apne Kaam Agar Waqt Par Nahin Karta written by Dinesh Kumar at UrduPoint. Main Apne Kaam Agar Waqt Par Nahin Karta is one of the masterpieces written by Dinesh Kumar. You can also find the complete poetry collection of Dinesh Kumar by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Dinesh Kumar' above.

Main Apne Kaam Agar Waqt Par Nahin Karta is a widely read Urdu Ghazal. If you like Main Apne Kaam Agar Waqt Par Nahin Karta, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.