Dil Bujh Gaya To Garmi-e-bazar Bhi Nahin, Urdu Ghazal By Ejaz Warsi

Dil Bujh Gaya To Garmi-e-bazar Bhi Nahin is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Ejaz Warsi. Dil Bujh Gaya To Garmi-e-bazar Bhi Nahin comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Dil Bujh Gaya To Garmi-e-bazar Bhi Nahin on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

دل بجھ گیا تو گرمئ بازار بھی نہیں

اعجاز وارثی

دل بجھ گیا تو گرمئ بازار بھی نہیں

اب ذکر بادہ و لب و رخسار بھی نہیں

اپنا تھا خلوتوں میں کبھی پرتو جمال

قسمت میں اب تو سایۂ دیوار بھی نہیں

شکوہ زباں پہ پھول سے احباب کا غلط

اے دوست مجھ کو تو گلۂ خار بھی نہیں

آیا نہ راس آپ کو اے شیخ روز حشر

اور لطف یہ ہے آپ گناہ گار بھی نہیں

قائم ہوں اپنی توبہ پہ میں آج بھی مگر

کوئی حسیں پلائے تو انکار بھی نہیں

کیا کیجیئے نمائش غم خون دل کے بعد

اب آرزوئے دیدۂ خونبار بھی نہیں

اعلان بے خودی ہے ہر اک قطرۂ لہو

میرے جنوں کی حد رسن و دار بھی نہیں

نور سحر کے نام پہ بھٹکیں نہ قافلے

دراصل ابھی تو صبح کے آثار بھی نہیں

واعظ خیال توبہ بجا ہے مگر ابھی

میں تو بقدر ظرف گناہ گار بھی نہیں

اعجاز وارثی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Dil Bujh Gaya To Garmi-e-bazar Bhi Nahin

Ejaz Warsi

dil bujh gaya to garmi-e-bazar bhi nahin
ab zikr-e-baada-o-lab-o-ruKHsar bhi nahin

apna tha KHalwaton mein kabhi partaw-e-jamal
qismat mein ab to saya-e-diwar bhi nahin

shikwa zaban pe phul se ahbab ka ghalat
ai dost mujh ko to gila-e-KHar bhi nahin

aaya na ras aap ko ai shaiKH roz-e-hashr
aur lutf ye hai aap gunahgar bhi nahin

qaem hun apni tauba pe main aaj bhi magar
koi hasin pilae to inkar bhi nahin

kya kijiye numaish-e-gham KHun-e-dil ke baad
ab aarzu-e-dida-e-KHunbar bhi nahin

elan-e-be-KHudi hai har ek qatra-e-lahu
mere junun ki had rasan-o-dar bhi nahin

nur-e-sahar ke nam pe bhaTken na qafile
dar-asl abhi to subh ke aasar bhi nahin

waiz KHayal-e-tauba baja hai magar abhi
main to ba-qadr-e-zarf gunahgar bhi nahin

(594) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Dil Bujh Gaya To Garmi-e-bazar Bhi Nahin written by Ejaz Warsi at UrduPoint. Dil Bujh Gaya To Garmi-e-bazar Bhi Nahin is one of the masterpieces written by Ejaz Warsi. You can also find the complete poetry collection of Ejaz Warsi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Ejaz Warsi' above.

Dil Bujh Gaya To Garmi-e-bazar Bhi Nahin is a widely read Urdu Ghazal. If you like Dil Bujh Gaya To Garmi-e-bazar Bhi Nahin, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.