Kyon Kahun Main Ki Sitam Ka Main Saza-war Na Tha, Urdu Ghazal By Faheem Gorakhpuri

Kyon Kahun Main Ki Sitam Ka Main Saza-war Na Tha is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Faheem Gorakhpuri. Kyon Kahun Main Ki Sitam Ka Main Saza-war Na Tha comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Kyon Kahun Main Ki Sitam Ka Main Saza-war Na Tha on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

کیوں کہوں میں کہ ستم کا میں سزاوار نہ تھا

فہیم گورکھپوری

کیوں کہوں میں کہ ستم کا میں سزاوار نہ تھا

دل دیا تھا تجھے کس طرح گنہ گار نہ تھا

عمر بھر مجھ سے تھی ہر ایک کو بے وجہ خلش

کیونکہ میں گلشن عالم میں کوئی خار نہ تھا

کیا نہ کچھ ہو گیا اک غیرت یوسف کے لیے

کب محبت میں میں رسوا سر بازار نہ تھا

کیا یہ کرتا مرے زخم جگر و دل کا علاج

چرخ بے رحم کوئی مرہم زنگار نہ تھا

فرد نکلا فن دزدی میں خیال دلبر

اس کا آنا تھا کہ پہلو میں دل زار نہ تھا

کیا بہلتا گل و سنبل سے چمن میں مرا دل

وہ تری زلف نہ تھا یہ ترا رخسار نہ تھا

اپنی قسمت ہی کا شاکی میں محبت میں رہا

شکوۂ چرخ نہ تھا کچھ گلۂ یار نہ تھا

حشر کے روز مرے حسن گنہ کا یا رب

تیری رحمت کے سوا کوئی خریدار نہ تھا

تیری آنکھوں کی محبت کا فقط تھا اسے روگ

ورنہ کچھ نرگس بیمار کو آزار نہ تھا

تم نے محفل میں جگہ دی اسے حسرت ہے مجھے

غیر اس آؤ بھگت کا تو سزاوار نہ تھا

نرگس اس آنکھ کی بیمار گل اس رخ پہ نثار

باغ عالم میں کسے عشق کا آزار نہ تھا

ہو گئی رسم ملاقات چلو بحث ہے کیا

تم خطا پر نہ تھے اور میں بھی وفادار نہ تھا

دو پیالوں میں ہے ساقی کے عجب کیف فہیمؔ

آنکھیں ملتے ہی وہ تھا کون جو سرشار نہ تھا

فہیم گورکھپوری

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Kyon Kahun Main Ki Sitam Ka Main Saza-war Na Tha

Faheem Gorakhpuri

kyon kahun main ki sitam ka main saza-war na tha
dil diya tha tujhe kis tarah gunahgar na tha

umr bhar mujh se thi har ek ko be-wajh KHalish
kyunki main gulshan-e-alam mein koi KHar na tha

kya na kuchh ho gaya ek ghairat-e-yusuf ke liye
kab mohabbat mein main ruswa sar-e-bazar na tha

kya ye karta mere zaKHm-e-jigar-o-dil ka ilaj
charKH-e-be-rahm koi marham-e-zangar na tha

fard nikla fan-e-duzdi mein KHayal-e-dilbar
us ka aana tha ki pahlu mein dil-e-zar na tha

kya bahalta gul-o-sumbul se chaman mein mera dil
wo teri zulf na tha ye tera ruKHsar na tha

apni qismat hi ka shaki main mohabbat mein raha
shikwa-e-charKH na tha kuchh gila-e-yar na tha

hashr ke roz mere husn-e-gunah ka yarab
teri rahmat ke siwa koi KHaridar na tha

teri aankhon ki mohabbat ka faqat tha use rog
warna kuchh nargis-e-bimar ko aazar na tha

tum ne mahfil mein jagah di use hasrat hai mujhe
ghair is aaw-bhagat ka to saza-war na tha

nargis us aankh ki bimar-e-gul us ruKH pe nisar
bagh-e-alam mein kise ishq ka aazar na tha

ho gai rasm-e-mulaqat chalo bahs hai kya
tum KHata par na the aur main bhi wafadar na tha

do pyalon mein hai saqi ke ajab kaif 'fahim'
aankhen milte hi wo tha kaun jo sarshaar na tha

(662) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Kyon Kahun Main Ki Sitam Ka Main Saza-war Na Tha written by Faheem Gorakhpuri at UrduPoint. Kyon Kahun Main Ki Sitam Ka Main Saza-war Na Tha is one of the masterpieces written by Faheem Gorakhpuri. You can also find the complete poetry collection of Faheem Gorakhpuri by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Faheem Gorakhpuri' above.

Kyon Kahun Main Ki Sitam Ka Main Saza-war Na Tha is a widely read Urdu Ghazal. If you like Kyon Kahun Main Ki Sitam Ka Main Saza-war Na Tha, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.