Ye Sach Hai Un Mein Ye Baaten To Han Hain, Urdu Ghazal By Faheem Gorakhpuri

Ye Sach Hai Un Mein Ye Baaten To Han Hain is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Faheem Gorakhpuri. Ye Sach Hai Un Mein Ye Baaten To Han Hain comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Ye Sach Hai Un Mein Ye Baaten To Han Hain on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

یہ سچ ہے ان میں یہ باتیں تو ہاں ہیں

فہیم گورکھپوری

یہ سچ ہے ان میں یہ باتیں تو ہاں ہیں

بڑے بد ظن نہایت بد گماں ہیں

غلط ہے یہ وہ ہم پر مہرباں ہیں

کہاں اپنی سمجھ ہے ہم کہاں ہیں

نہ یہ پوچھیں نہ آئے ہجر میں موت

خدا بھولا ہے بت نا مہرباں ہیں

نہیں اٹھتے ہیں آ کر غیر ہرگز

محبت میں یہی بار گراں ہیں

ثبوت عشق ہے لب خشک سرد آہ

چھپائیں کیا کہ یہ سب تو عیاں ہیں

نہ پوچھو بے خودیٔ عشق ہم سے

خبر بھی کچھ نہیں ہے ہم کہاں ہیں

وہ کچھ سمجھیں سنا دیں حال دل تو

یہی نا وہ نہایت بد گماں ہیں

جب آیا ناوک قاتل سوئے دل

جگر ہی بول اٹھا ہم یہاں ہیں

ابھی اکتا گئے تم حضرت دل

محبت میں ہزاروں امتحاں ہیں

ہمیں بہلا کے رہتے ہیں غم و رنج

یہی فرقت میں گویا مہرباں ہیں

نہ کیوں رشک آئے بخت مدعی پر

کہ وہ اس پر بہت ہی مہرباں ہیں

کریں کس طرح چاہت ان کی ہم کم

ابھی نام خدا وہ نوجواں ہیں

کبھی کر دی تھی ظاہر خواہش وصل

جبھی سے تو بہت وہ بد گماں ہیں

حسینوں میں نہیں کوئی برائی

مگر اک عیب یہ ہے بد زباں ہیں

نہ کیوں لطف آئے اب ان کے ستم میں

سنا ہے وہ شریک آسماں ہیں

کہے دیتے ہیں اب دل کو سنبھالو

کہ ہم آمادۂ آہ و فغاں ہیں

سمجھتے ہیں ہمیں اور غیر کو ایک

ہمارے آپ اچھے قدرداں ہیں

ذرا ٹھہرو جو آئے ہو دم نزع

کہ اب ہم کوئی دم کے میہماں ہیں

فہیمؔ اتنا ہی کیا کم ہے ہمیں فخر

سنو اہل زباں شیریں زباں ہیں

فہیم گورکھپوری

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Ye Sach Hai Un Mein Ye Baaten To Han Hain

Faheem Gorakhpuri

ye sach hai un mein ye baaten to han hain
baDe bad-zan nihayat bad-guman hain

ghalat hai ye wo hum par mehrban hain
kahan apni samajh hai hum kahan hain

na ye puchhen na aae hijr mein maut
KHuda bhula hai but na-mehrban hain

nahin uThte hain aa kar ghair hargiz
mohabbat mein yahi bar-e-garan hain

subut-e-ishq hai lab KHushk sard aah
chhupaen kya ki ye sab to ayan hain

na puchho be-KHudi-e-ishq hum se
KHabar bhi kuchh nahin hai hum kahan hain

wo kuchh samjhen suna den haal-e-dil to
yahi na wo nihayat bad-guman hain

jab aaya nawak-e-qatil su-e-dil
jigar hi bol uTTha hum yahan hain

abhi ukta gae tum hazrat-e-dil
mohabbat mein hazaron imtihan hain

hamein bahla ke rahte hain gham-o-ranj
yahi furqat mein goya mehrban hain

na kyon rashk aae baKHt-e-muddai par
ki wo us par bahut hi mehrban hain

karen kis tarah chahat un ki hum kam
abhi nam-e-KHuda wo naujawan hain

kabhi kar di thi zahir KHwahish-e-wasl
jabhi se to bahut wo bad-guman hain

hasinon mein nahin koi burai
magar ek aib ye hai bad-zaban hain

na kyon lutf aae ab un ke sitam mein
suna hai wo sharik-e-asman hain

kahe dete hain ab dil ko sambhaalo
ki hum aamada-e-ah-o-fughan hain

samajhte hain hamein aur ghair ko ek
hamare aap achchhe qadr-dan hain

zara Thahro jo aae ho dam-e-naza
ki ab hum koi dam ke mehman hain

'fahim' itna hi kya kam hai hamein faKHr
suno ahl-e-zaban shirin-zaban hain

(727) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Ye Sach Hai Un Mein Ye Baaten To Han Hain written by Faheem Gorakhpuri at UrduPoint. Ye Sach Hai Un Mein Ye Baaten To Han Hain is one of the masterpieces written by Faheem Gorakhpuri. You can also find the complete poetry collection of Faheem Gorakhpuri by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Faheem Gorakhpuri' above.

Ye Sach Hai Un Mein Ye Baaten To Han Hain is a widely read Urdu Ghazal. If you like Ye Sach Hai Un Mein Ye Baaten To Han Hain, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.