Koi Tasawwur Mein Jalwa-gar Hai Bahaar Dil Mein Sama Rahi Hai, Urdu Ghazal By Faizi Nizam Puri

Koi Tasawwur Mein Jalwa-gar Hai Bahaar Dil Mein Sama Rahi Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Faizi Nizam Puri. Koi Tasawwur Mein Jalwa-gar Hai Bahaar Dil Mein Sama Rahi Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Koi Tasawwur Mein Jalwa-gar Hai Bahaar Dil Mein Sama Rahi Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

کوئی تصور میں جلوہ گر ہے بہار دل میں سما رہی ہے

فیضی نظام پوری

کوئی تصور میں جلوہ گر ہے بہار دل میں سما رہی ہے

نفس نفس گنگنا رہا ہے نظر نظر مسکرا رہی ہے

جھکی جھکی سی نگاہ قاتل ہزار غمزے دکھا رہی ہے

نہ جانے جاگا ہے بخت کس کا یہ کس کو بسمل بنا رہی ہے

نہیں ہے اب تاب ضبط باقی کہیں میں توبہ نہ توڑ بیٹھوں

ترا اشارہ نہیں یہ ساقی تو کیوں گھٹا مسکرا رہی ہے

نہ پوچھ حالت مریض غم کی گھڑی میں کچھ ہے گھڑی میں کچھ ہے

طبیب تشویش میں پڑا ہے قضا کھڑی مسکرا رہی ہے

مری شب غم کا پوچھنا کیا عجیب پیش نظر ہے منظر

یہ زندگی جھلملا رہی ہے کہ نیند تاروں کو آ رہی ہے

یہ ہر ادا پائمال ہو کر بھی دل کو ہے ذوق پائمالی

قدم قدم پر تری جوانی عجیب فتنے جگا رہی ہے

ہوا کچھ ایسی چلی ہے فیضیؔ تمیز اپنوں کی اب ہے مشکل

مری تمنا بھی کچھ خفا ہے وفا بھی دامن چھڑا رہی ہے

فیضی نظام پوری

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Koi Tasawwur Mein Jalwa-gar Hai Bahaar Dil Mein Sama Rahi Hai

Faizi Nizam Puri

koi tasawwur mein jalwa-gar hai bahaar dil mein sama rahi hai
nafas nafas gunguna raha hai nazar nazar muskura rahi hai

jhuki jhuki si nigah-e-qatil hazar ghamze dikha rahi hai
na jaane jaga hai baKHt kis ka ye kis ko bismil bana rahi hai

nahin hai ab tab-e-zabt baqi kahin main tauba na toD baiThun
tera ishaara nahin ye saqi to kyun ghaTa muskura rahi hai

na puchh haalat mariz-e-gham ki ghaDi mein kuchh hai ghaDi mein kuchh hai
tabib tashwish mein paDa hai qaza khaDi muskura rahi hai

meri shab-e-gham ka puchhna kya ajib pesh-e-nazar hai manzar
ye zindagi jhilmila rahi hai ki nind taron ko aa rahi hai

ye har ada paemal ho kar bhi dil ko hai zauq-e-paemali
qadam qadam par teri jawani ajib fitne jaga rahi hai

hawa kuchh aisi chali hai 'faizi' tamiz apnon ki ab hai mushkil
meri tamanna bhi kuchh KHafa hai wafa bhi daman chhuDa rahi hai

(775) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Koi Tasawwur Mein Jalwa-gar Hai Bahaar Dil Mein Sama Rahi Hai written by Faizi Nizam Puri at UrduPoint. Koi Tasawwur Mein Jalwa-gar Hai Bahaar Dil Mein Sama Rahi Hai is one of the masterpieces written by Faizi Nizam Puri. You can also find the complete poetry collection of Faizi Nizam Puri by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Faizi Nizam Puri' above.

Koi Tasawwur Mein Jalwa-gar Hai Bahaar Dil Mein Sama Rahi Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Koi Tasawwur Mein Jalwa-gar Hai Bahaar Dil Mein Sama Rahi Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.