Masail Sar UThae Chal Rahe Hain, Urdu Ghazal By Fakhir Jalalpuri

Masail Sar UThae Chal Rahe Hain is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Fakhir Jalalpuri. Masail Sar UThae Chal Rahe Hain comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Masail Sar UThae Chal Rahe Hain on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

مسائل سر اٹھائے چل رہے ہیں

فاخر جلال پوری

مسائل سر اٹھائے چل رہے ہیں

بھری برسات میں ہم جل رہے ہیں

ہم ایسے سوختہ دل لوگ برسوں

کسی کی آنکھ کا کاجل رہے ہیں

ہجوم فصل گل ہے پھر بھی ہم لوگ

ابھی کانٹوں پہ جیسے چل رہے ہیں

نہ جانے کتنے شیشے کے مکاں میں

ابھی فرہاد و مجنوں پل رہے ہیں

تمناؤں کی منزل تک بہت سے

ہماری راہ میں مقتل رہے ہیں

کبھی ہم رنگ و خوشبو بن کے فاخرؔ

کسی کے جسم کا صندل رہے ہیں

فاخر جلال پوری

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Masail Sar UThae Chal Rahe Hain

Fakhir Jalalpuri

masail sar uThae chal rahe hain
bhari barsat mein hum jal rahe hain

hum aise soKHta-dil log barson
kisi ki aankh ka kajal rahe hain

hujum-e-fasal-e-gul hai phir bhi hum log
abhi kanTon pe jaise chal rahe hain

na jaane kitne shishe ke makan mein
abhi farhad-o-majnun pal rahe hain

tamannaon ki manzil tak bahut se
hamari rah mein maqtal rahe hain

kabhi hum rang-o-KHushbu ban ke 'faKHir'
kisi ke jism ka sandal rahe hain

(1213) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Masail Sar UThae Chal Rahe Hain written by Fakhir Jalalpuri at UrduPoint. Masail Sar UThae Chal Rahe Hain is one of the masterpieces written by Fakhir Jalalpuri. You can also find the complete poetry collection of Fakhir Jalalpuri by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Fakhir Jalalpuri' above.

Masail Sar UThae Chal Rahe Hain is a widely read Urdu Ghazal. If you like Masail Sar UThae Chal Rahe Hain, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.