Tamashai Bhi Zalim Hain, Urdu Nazam By Farah Shahid

Tamashai Bhi Zalim Hain is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Farah Shahid. Tamashai Bhi Zalim Hain comes under the Love, Sad category of Urdu Nazam. You can read Tamashai Bhi Zalim Hain on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

تماشائی بھی ظالم ہیں

فرح شاہد

وہ ظالم

جو کسی کا ظلم سہتا ہے

کہ وہ ظالم

جو اس پر ظلم کرتا ہے

کسی مظلوم پر لاٹھی چلاتا ہے

وہ جو فرعون بن کر خود کو اس مظلوم کا آقا بتاتا ہے

خدا ہونے کا دعویٰ ہی نہیں کرتا

خدائی کی حدوں کو چھو کے آتا ہے

کسی بے پیرہن کو سڑکوں پہ لاتا ہے

نمائش کر کے لوگوں کو تماشا بھی دکھاتا ہے

پھر اس پر فخر کرتا ہے

فقط وہ ہی نہیں ظالم

تماشا جو بنا ہے وہ بھی ظالم ہے

تماشائی بھی ظالم ہیں

یہ جو بیمار سوچیں سوچنے والوں کا ٹولا ہے

یہ ظالم ہے

کسی مظلوم کے جو ارد گرد ایسے کھڑے

تصویر کھنچواتا ہے ظالم ہے

نمائش ہو رہی ہوتی ہے سسکی کی

کسی کی آخری ہچکی جو اپنے کیمرے میں

قید کرتا ہے

جہاں بھر کو دکھاتا ہے

وہ ظالم ہے

بڑا سستا طریقہ ہے ہمارا بھی

بہا کر اشک جو ہمدردیاں ہم نے سمیٹی ہیں

انہی ہمدردیوں کی کرچیاں روحوں میں

چبھتی ہیں

صدا اندر سے آتی ہے

تماشا کرنے والا تو چلو ظالم

تماشا جو بنا ہے وہ بھی ظالم ہے

تماشائی بھی ظالم ہیں

فرح شاہد

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Tamashai Bhi Zalim Hain

Farah Shahid

wo zalim
jo kisi ka zulm sahta hai
ki wo zalim
jo us par zulm karta hai

kisi mazlum par laThi chalata hai
wo jo firaun ban kar KHud ko us mazlum ka aaqa batata hai
KHuda hone ka dawa hi nahin karta
KHudai ki hadon ko chhu ke aata hai

kisi be-pairahan ko saDkon pe lata hai
numaish kar ke logon ko tamasha bhi dikhata hai
phir is par faKHr karta hai
faqat wo hi nahin zalim
tamasha jo bana hai wo bhi zalim hai
tamashai bhi zalim hain

ye jo bimar sochen sochne walon ka Tola hai
ye zalim hai
kisi mazlum ke jo ird-gird aise khaDe
taswir khinchwata hai zalim hai

numaish ho rahi hoti hai siski ki
kisi ki aaKHiri hichki jo apne camere mein
qaid karta hai
jahan bhar ko dikhata hai
wo zalim hai

baDa sasta tariqa hai hamara bhi
baha kar ashk jo hamdardiyan hum ne sameTi hain
inhi hamdardiyon ki kirchiyan ruhon mein
chubhti hain
sada andar se aati hai

tamasha karne wala to chalo zalim
tamasha jo bana hai wo bhi zalim hai
tamashai bhi zalim hain

(863) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Tamashai Bhi Zalim Hain written by Farah Shahid at UrduPoint. Tamashai Bhi Zalim Hain is one of the masterpieces written by Farah Shahid. You can also find the complete poetry collection of Farah Shahid by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Farah Shahid' above.

Tamashai Bhi Zalim Hain is a widely read Urdu Nazam. If you like Tamashai Bhi Zalim Hain, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.