Aur Kuchh Is Ke Siwa Ahl-e-nazar Jaante Hain, Urdu Ghazal By Fareed Parbati

Aur Kuchh Is Ke Siwa Ahl-e-nazar Jaante Hain is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Fareed Parbati. Aur Kuchh Is Ke Siwa Ahl-e-nazar Jaante Hain comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Aur Kuchh Is Ke Siwa Ahl-e-nazar Jaante Hain on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

اور کچھ اس کے سوا اہل نظر جانتے ہیں

فرید پربتی

اور کچھ اس کے سوا اہل نظر جانتے ہیں

پگڑیاں اپنی بچانے کا ہنر جانتے ہیں

اک ستارے کو ضیا بار دکھانے کے لئے

وہ بجھائیں گے سبھی شمس و قمر جانتے ہیں

خواب میں دیکھتے ہیں کھڑکیاں ہر گھر کی کھلی

دور ہو جائے گا اب شہر سے ڈر جانتے ہیں

میزبانی تھی کبھی جن میں میسر تیری

پلٹ آئیں گے وہی شام و سحر جانتے ہیں

تری جھولی میں ستارے یہ نہیں گرنے کے

ہر طلب گار کا وہ طرز نظر جانتے ہیں

یہ جو سستانے یہاں آتے ہیں صاحب اک دن

سائے کے ساتھ وہ مانگیں گے شجر جانتے ہیں

تیز آندھی سے دیے سارے بچانے کو فریدؔ

خود کو رکھے گا سر راہ گزر جانتے ہیں

فرید پربتی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Aur Kuchh Is Ke Siwa Ahl-e-nazar Jaante Hain

Fareed Parbati

aur kuchh is ke siwa ahl-e-nazar jaante hain
pagDiyan apni bachane ka hunar jaante hain

ek sitare ko ziya-bar dikhane ke liye
wo bujhaenge sabhi shams-o-qamar jaante hain

KHwab mein dekhte hain khiDkiyan har ghar ki khuli
dur ho jaega ab shahr se Dar jaante hain

mezbani thi kabhi jin mein mayassar teri
palaT aaenge wahi sham-o-sahar jaante hain

teri jholi mein sitare ye nahin girne ke
har talabgar ka wo tarz-e-nazar jaante hain

ye jo sustane yahan aate hain sahab ek din
sae ke sath wo mangenge shajar jaante hain

tez aandhi se diye sare bachane ko 'farid'
KHud ko rakkhega sar-e-rahguzar jaante hain

(1089) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Aur Kuchh Is Ke Siwa Ahl-e-nazar Jaante Hain written by Fareed Parbati at UrduPoint. Aur Kuchh Is Ke Siwa Ahl-e-nazar Jaante Hain is one of the masterpieces written by Fareed Parbati. You can also find the complete poetry collection of Fareed Parbati by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Fareed Parbati' above.

Aur Kuchh Is Ke Siwa Ahl-e-nazar Jaante Hain is a widely read Urdu Ghazal. If you like Aur Kuchh Is Ke Siwa Ahl-e-nazar Jaante Hain, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.