Dil Ke Andar Ek Zara Si Be-kali Hai Aaj Bhi, Urdu Ghazal By Farogh Zaidi

Dil Ke Andar Ek Zara Si Be-kali Hai Aaj Bhi is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Farogh Zaidi. Dil Ke Andar Ek Zara Si Be-kali Hai Aaj Bhi comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Dil Ke Andar Ek Zara Si Be-kali Hai Aaj Bhi on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

دل کے اندر اک ذرا سی بے کلی ہے آج بھی

فروغ زیدی

دل کے اندر اک ذرا سی بے کلی ہے آج بھی

جو مرے افکار میں رس گھولتی ہے آج بھی

یوں تو وہ دیوار بن کے آ گیا ہے درمیاں

میری اپنے آپ سے کچھ دوستی ہے آج بھی

پتھروں پر چل کے سب نے پاؤں زخمی کر لئے

جبکہ اس کے در کا رستہ مخملی ہے آج بھی

رخ ہواؤں کا بدلنا جانتے ہیں لوگ جو

بس انہیں کے ہر دیے میں روشنی ہے آج بھی

جن سوالوں کا نہیں ہوتا کوئی مثبت جواب

ان سوالوں سے الجھتا آدمی ہے آج بھی

سیکھتا ہے یوں تو انساں ہر طریقے کی زباں

سب سے آساں سب سے بہتر خامشی ہے آج بھی

جس کے چلتے میں نے ڈھونڈے تھے کئی رستے نئے

ڈھونڈھتی مجھ کو وہی آوارگی ہے آج بھی

کتنے ڈوبے کتنے ابھرے کیا خبر ان کو فروغؔ

بہہ رہی چپ چاپ یوں ہی ہر ندی ہے آج بھی

فروغ زیدی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Dil Ke Andar Ek Zara Si Be-kali Hai Aaj Bhi

Farogh Zaidi

dil ke andar ek zara si be-kali hai aaj bhi
jo mere afkar mein ras gholti hai aaj bhi

yun to wo diwar ban ke aa gaya hai darmiyan
meri apne aap se kuchh dosti hai aaj bhi

pattharon par chal ke sab ne panw zaKHmi kar liye
jabki us ke dar ka rasta maKHmali hai aaj bhi

ruKH hawaon ka badalna jaante hain log jo
bas unhin ke har diye mein raushni hai aaj bhi

jin sawalon ka nahin hota koi musbat jawab
un sawalon se ulajhta aadmi hai aaj bhi

sikhta hai yun to insan har tariqe ki zaban
sab se aasan sab se behtar KHamushi hai aaj bhi

jis ke chalte main ne DhunDe the kai raste nae
DhunDhti mujh ko wahi aawargi hai aaj bhi

kitne Dube kitne ubhre kya KHabar un ko 'farogh'
bah rahi chup-chap yun hi har nadi hai aaj bhi

(777) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Dil Ke Andar Ek Zara Si Be-kali Hai Aaj Bhi written by Farogh Zaidi at UrduPoint. Dil Ke Andar Ek Zara Si Be-kali Hai Aaj Bhi is one of the masterpieces written by Farogh Zaidi. You can also find the complete poetry collection of Farogh Zaidi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Farogh Zaidi' above.

Dil Ke Andar Ek Zara Si Be-kali Hai Aaj Bhi is a widely read Urdu Ghazal. If you like Dil Ke Andar Ek Zara Si Be-kali Hai Aaj Bhi, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.