Dosti Ke Nae Aadab Liye Phirte Hain, Urdu Ghazal By Fasihullah Naqeeb

Dosti Ke Nae Aadab Liye Phirte Hain is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Fasihullah Naqeeb. Dosti Ke Nae Aadab Liye Phirte Hain comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Dosti Ke Nae Aadab Liye Phirte Hain on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

دوستی کے نئے آداب لئے پھرتے ہیں

فصیح اللہ نقیب

دوستی کے نئے آداب لئے پھرتے ہیں

لوگ اب عطر میں تیزاب لئے پھرتے ہیں

چاہتے ہیں کہ حقیقت میں ڈھلیں آپ ہی آپ

جاگتی آنکھوں میں ہم خواب لئے پھرتے ہیں

آنکھ اٹھتی نہیں باہر کے نظاروں کی طرف

ہم طبیعت بڑی سیراب لئے پھرتے ہیں

احتیاطاً کہ حریفوں کے نہ ہاتھ آ جائیں

میرے پرزے مرے احباب لئے پھرتے ہیں

ہم کو شہرت کی تمنا نہ ستائش کی طلب

بے سبب آپ یہ اسباب لئے پھرتے ہیں

مہ جبیں ہیں انہیں بندیا کی ضرورت کیا ہے

کیوں وہ مہتاب پہ مہتاب لئے پھرتے ہیں

کیا گزرتی ہے دلوں پر یہ خدا ہی جانے

لوگ چہرے بڑے شاداب لئے پھرتے ہیں

دل کے تاروں سے چلے چھیڑ ترنم کے لئے

ہم جو اشعار کی مضراب لئے پھرتے ہیں

بادباں کا ہے نہ پتوار کا محتاج نقیبؔ

اس کی کشتی کو جو گرداب لئے پھرتے ہیں

فصیح اللہ نقیب

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Dosti Ke Nae Aadab Liye Phirte Hain

Fasihullah Naqeeb

dosti ke nae aadab liye phirte hain
log ab itr mein tezab liye phirte hain

chahte hain ki haqiqat mein Dhalen aap hi aap
jagti aankhon mein hum KHwab liye phirte hain

aankh uThti nahin bahar ke nazaron ki taraf
hum tabiat baDi sairab liye phirte hain

ehtiyatan ki harifon ke na hath aa jaen
mere purze mere ahbab liye phirte hain

hum ko shohrat ki tamanna na sataish ki talab
be-sabab aap ye asbab liye phirte hain

mah-jabin hain unhen bindiya ki zarurat kya hai
kyon wo mahtab pe mahtab liye phirte hain

kya guzarti hai dilon par ye KHuda hi jaane
log chehre baDe shadab liye phirte hain

dil ke taron se chale chheD tarannum ke liye
hum jo ashaar ki mizrab liye phirte hain

baadban ka hai na patwar ka muhtaj 'naqib'
us ki kashti ko jo girdab liye phirte hain

(1275) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Dosti Ke Nae Aadab Liye Phirte Hain written by Fasihullah Naqeeb at UrduPoint. Dosti Ke Nae Aadab Liye Phirte Hain is one of the masterpieces written by Fasihullah Naqeeb. You can also find the complete poetry collection of Fasihullah Naqeeb by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Fasihullah Naqeeb' above.

Dosti Ke Nae Aadab Liye Phirte Hain is a widely read Urdu Ghazal. If you like Dosti Ke Nae Aadab Liye Phirte Hain, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.