Bahaar Aai Hai Phir Gul-posh Hoga Gulsitan Apna, Urdu Ghazal By Fazil Kashmiri

Bahaar Aai Hai Phir Gul-posh Hoga Gulsitan Apna is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Fazil Kashmiri. Bahaar Aai Hai Phir Gul-posh Hoga Gulsitan Apna comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Bahaar Aai Hai Phir Gul-posh Hoga Gulsitan Apna on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

بہار آئی ہے پھر گل پوش ہوگا گلستاں اپنا

فاضل کاشمیری

بہار آئی ہے پھر گل پوش ہوگا گلستاں اپنا

قفس میں یاد آتا ہے مجھے اب آشیاں اپنا

نہ اب اپنی زمیں ہے اور نہ ہے اب آسماں اپنا

بتا پھر تیری دنیا میں ٹھکانا ہے کہاں اپنا

چمن اپنا نہ گل اپنے نہ ہے اب آشیاں اپنا

خدا کی شان دشمن ہو گیا سارا جہاں اپنا

یہاں اٹھتا نہیں ہے پاؤں فرط ناتوانی سے

وہاں چلنے کو ہے تیار میر کارواں اپنا

اسی امید ہی میں جان دی ہے مرنے والے نے

اب آئے گا اب آئے گا مسیحائے زماں اپنا

قفس تو کیا ہے جل جائے گا یہ سارا جہاں صیاد

قیامت ہے قیامت نالۂ شعلہ فشاں اپنا

خدا رکھے عجب شے ہے یہ یک رنگی محبت کی

سمجھتے ہیں بیاں تیرا جو کہتا ہوں بیاں اپنا

بہت سنتے رہے ہو قیس اور فرہاد کے قصے

سنو تو آج فاضلؔ بھی سنائے کچھ بیاں اپنا

فاضل کاشمیری

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Bahaar Aai Hai Phir Gul-posh Hoga Gulsitan Apna

Fazil Kashmiri

bahaar aai hai phir gul-posh hoga gulsitan apna
qafas mein yaad aata hai mujhe ab aashiyan apna

na ab apni zamin hai aur na hai ab aasman apna
bata phir teri duniya mein Thikana hai kahan apna

chaman apna na gul apne na hai ab aashiyan apna
KHuda ki shan dushman ho gaya sara jahan apna

yahan uThta nahin hai panw fart-e-na-tawani se
wahan chalne ko hai tayyar mir-e-karwan apna

isi ummid hi mein jaan di hai marne wale ne
ab aaega ab aaega masiha-e-zaman apna

qafas to kya hai jal jaega ye sara jahan sayyaad
qayamat hai qayamat nala-e-shoala-fishan apna

KHuda rakkhe ajab shai hai ye yak-rangi mohabbat ki
samajhte hain bayan tera jo kahta hun bayan apna

bahut sunte rahe ho qais aur farhad ke qisse
suno to aaj 'fazil' bhi sunae kuchh bayan apna

(834) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Bahaar Aai Hai Phir Gul-posh Hoga Gulsitan Apna written by Fazil Kashmiri at UrduPoint. Bahaar Aai Hai Phir Gul-posh Hoga Gulsitan Apna is one of the masterpieces written by Fazil Kashmiri. You can also find the complete poetry collection of Fazil Kashmiri by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Fazil Kashmiri' above.

Bahaar Aai Hai Phir Gul-posh Hoga Gulsitan Apna is a widely read Urdu Ghazal. If you like Bahaar Aai Hai Phir Gul-posh Hoga Gulsitan Apna, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.