Chalo Bazar Chalte Hain, Urdu Nazam By Firoz Natiq Khusro

Chalo Bazar Chalte Hain is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Firoz Natiq Khusro. Chalo Bazar Chalte Hain comes under the Love, Sad category of Urdu Nazam. You can read Chalo Bazar Chalte Hain on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

چلو بازار چلتے ہیں

فیروز ناطق خسرو

کسی کی جیب سے نقدی

کسی کے کان کی بالی

کسی کی چوڑیاں

ہاتھوں سے

مہنگا کوئی موبائل

جھلک ٹی ٹی کی دکھلا کر

جو مالا ٹوٹ کر بکھرے

تو موتی بین لیتے تھے

غریبوں کی بھی کل پونجی

ابھی کل تک یہاں ہم

چھین لیتے تھے

مگر اب لوگ بھی اپنے بہت ہشیار بنتے ہیں

شکستہ ہی سہی

پھر بھی ہماری راہ کی

دیوار بنتے ہیں

نہ کانوں میں کوئی بالی پہنتا ہے

نہ ہاتھوں میں

کڑے سونے کے ہوتے ہیں

دلہن کے جو بھی زیور ہیں

وہ مصنوعی

جو موبائل ہیں وہ نقلی

نمائش کے سبھی طور و طریقے

کھوکھلے ہیں

کچھ نہیں اصلی

تو پھر بازار جا کر کیا کریں

جیبیں تو ہیں خالی

چلو کچھ ایسا کرتے ہیں

کسی کے ہاتھ سے تھیلا دواؤں کا

لپک کر چھین لیتے ہیں

دوائیں بھی تو مہنگی ہیں

کہیں پر بیچ دیتے ہیں

کہیں پر بیچ دیتے ہیں

یا پھر گھر کو پلٹتے ہیں

ابھی کچھ روز پہلے ہی

جو ہم نے بالیاں کانوں سے نوچی تھیں

وہ میں نے تحفتاً بخشیں تھیں بیوی کو

کڑے سونے کے اماں کو

تو پھر کچھ ایسا کرتے ہیں

کڑے اماں سے جا کر چھین لاتے ہیں

وہی دو بالیاں سونے کی جو بخشیں تھیں بیوی کو

انہیں پھر نوچ لاتے ہیں

چلو بازار چلتے ہیں

فیروز ناطق خسرو

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Chalo Bazar Chalte Hain

Firoz Natiq Khusro

kisi ki jeb se naqadi
kisi ke kan ki baali
kisi ki chuDiyan
hathon se
mahnga koi mobile
jhalak T-T ki dikhla kar
jo mala TuT kar bikhre
to moti bin lete the
gharibon ki bhi kul-punji
abhi kal tak yahan hum
chhin lete the

magar ab log bhi apne bahut hushiyar bante hain
shikasta hi sahi
phir bhi hamari rah ki
diwar bante hain
na kanon mein koi baali pahanta hai
na hathon mein
kaDe sone ke hote hain
dulhan ke jo bhi zewar hain
wo masnui
jo mobile hain wo naqli
numaish ke sabhi taur-o-tariqe
khokhle hain
kuchh nahin asli

to phir bazar ja kar kya karen
jeben to hain KHali
chalo kuchh aisa karte hain
kisi ke hath se thaila dawaon ka
lapak kar chhin lete hain
dawaen bhi to mahngi hain
kahin par bech dete hain

kahin par bech dete hain
ya phir ghar ko palaTte hain
abhi kuchh roz pahle hi
jo hum ne baaliyan kanon se nochi thin
wo main ne tohfatan baKHshin thin biwi ko
kaDe sone ke amman ko
to phir kuchh aisa karte hain
kaDe amman se ja kar chhin late hain
wahi do baaliyan sone ki jo baKHshin thin biwi ko
unhen phir noch late hain
chalo bazar chalte hain

(922) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Chalo Bazar Chalte Hain written by Firoz Natiq Khusro at UrduPoint. Chalo Bazar Chalte Hain is one of the masterpieces written by Firoz Natiq Khusro. You can also find the complete poetry collection of Firoz Natiq Khusro by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Firoz Natiq Khusro' above.

Chalo Bazar Chalte Hain is a widely read Urdu Nazam. If you like Chalo Bazar Chalte Hain, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.