Jis GhaDi Rah-e-pur-Khaar Maine Chuni Sath Usne Bhi Azm-e-safar Kar Liya, Urdu Ghazal By Firoz Natiq Khusro

Jis GhaDi Rah-e-pur-Khaar Maine Chuni Sath Usne Bhi Azm-e-safar Kar Liya is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Firoz Natiq Khusro. Jis GhaDi Rah-e-pur-Khaar Maine Chuni Sath Usne Bhi Azm-e-safar Kar Liya comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Jis GhaDi Rah-e-pur-Khaar Maine Chuni Sath Usne Bhi Azm-e-safar Kar Liya on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

جس گھڑی راہ پرخار میں نے چنی ساتھ اس نے بھی عزم سفر کر لیا

فیروز ناطق خسرو

جس گھڑی راہ پرخار میں نے چنی ساتھ اس نے بھی عزم سفر کر لیا

صبح سورج نکلنے سے پہلے چلے، جس جگہ ہو گئی رات گھر کر لیا

دم بہ دم ایک دیوار اٹھتی گئی اک چھری میرا سینہ کھرچتی گئی

جیسے جیسے گھٹن شہر کی بڑھ چلی میں نے دل میں نیا ایک در کر لیا

اک صدا میرے کانوں میں آتی رہی اک بلا نام لے کر بلاتی رہی

مڑ کے دیکھا نہ میں نے کبھی راہ میں جو سفر طے کیا بے خطر کر لیا

زندگی اپنی گزری ہے دکھ بانٹتے، باڑھ کانٹوں کی ہر ہر قدم چھانٹتے

ہجر کی فصل پلکوں تلے کاٹتے جو بھی کوہ گراں تھا وہ سر کر لیا

ان کے آنے کی پھیلی خبر چار سو آئینے مہ جبینوں کے ہیں روبرو

میں نے بھی ان کے چہرے پہ ڈالی نظر روشنی کو اسیر نظر کر لیا

لوگ آتے ہیں میرا پتہ پوچھتے میرے شعروں کو پڑھ کر تجھے ڈھونڈتے

تجھ پہ میرے سخن کا نہ جادو چلا میں نے دنیا دنیا کو اثر کر لیا

حاسدوں کے میں طعنوں کا سنتا رہا، ریزہ ریزہ وجود اپنا چنتا رہا

بارش سنگ میں بھی نہ پیچھے ہٹا، میں نے اس دل کو پتھر کا گھر کر لیا

گم شدہ راستوں کا پتہ ہاتھ میں، بیتی یادوں کا بستہ لیے ساتھ میں

میں نے صحرا کو اپنا تعارف کیا اور قلم اپنا دست ہنر کر لیا

میں نے خود کو محلوں میں بانٹا نہیں، میں نے خانوں میں لوگوں کو چھانٹا نہیں

مجھ کو داد سخن سے غرض اب نہیں میں نے حرف سخن معتبر کر لیا

عمر بڑھتی گئی جوں جوں ماں باپ کی، آمد و رفت محدود ہوتی گئی

بیٹھے بیٹھے در و بام تکتے رہے بولنا چالنا مختصر کر لیا

دھیرے دھیرے چٹانیں پگھلتی رہیں قطرہ قطرہ سمندر نگلتی رہیں

وہ جو آنسو نہ ڈھلکا کبھی گال پر، اس کو دل کے صدف نے گہر کر لیا

باپ کی ڈانٹ بھی مجھ کو ایسی ملی جیسے ماں کی محبت کی مصری ڈلی

قفل دل کی تجوری کو میں نے کیا اور محفوظ یہ مال و زر کر لیا

موسموں کے غضب سے بچاتے ہوئے، اپنی باہوں کا حلقہ بناتے ہوئے

دکھ اٹھائے جہاں میری ماں نے بہت، اپنے آنگن کا پودا شجر کر لیا

میں نے بچپن گزارا ہے اپنا یہاں اس کے سائے میں پل کر ہوا میں جواں

کیسے بھولوں میں خسروؔ یہ کچا مکاں، اس مکاں نے مرے دل میں گھر کر لیا

فیروز ناطق خسرو

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Jis GhaDi Rah-e-pur-Khaar Maine Chuni Sath Usne Bhi Azm-e-safar Kar Liya

Firoz Natiq Khusro

jis ghaDi rah-e-pur-KHar main ne chuni sath us ne bhi azm-e-safar kar liya
subh suraj nikalne se pahle chale, jis jagah ho gai raat ghar kar liya

dam-ba-dam ek diwar uThti gai ek chhuri mera sina khurachti gai
jaise jaise ghuTan shahar ki baDh chali main ne dil mein naya ek dar kar liya

ek sada mere kanon mein aati rahi ek bala nam le kar bulati rahi
muD ke dekha na main ne kabhi rah mein jo safar tai kiya be-KHatar kar liya

zindagi apni guzri hai dukh banTte, baDh kanTon ki har har qadam chhanTte
hijr ki fasl palkon tale kaTte jo bhi koh-e-giran tha wo sar kar liya

un ke aane ki phaili KHabar chaar-su aaine mah jabinon ke hain ru-ba-ru
main ne bhi un ke chehre pe Dali nazar raushni ko asir-e-nazar kar liya

log aate hain mera pata puchhte mere sheron ko paDh kar tujhe DhunDte
tujh pe mere suKHan ka na jadu chala main ne duniya duniya ko asar kar liya

hasidon ke main tanon ka sunta raha, reza reza wajud apna chinta raha
barish-e-sang mein bhi na pichhe haTa, main ne us dil ko patthar ka ghar kar liya

gum-shuda raston ka pata hath mein, biti yaadon ka basta liye sath mein
main ne sahra ko apna taaruf kiya aur qalam apna dast-e-hunar kar liya

main ne KHud ko mahlon mein banTa nahin, main ne KHanon mein logon ko chhanTa nahin
mujh ko dad-e-suKHan se gharaz ab nahin main ne harf-e-suKHan mo'atabar kar liya

umr baDhti gai jun jun man-bap ki, aamad-o-raft mahdud hoti gai
baiThe baiThe dar-o-baam takte rahe bolna-chaalna muKHtasar kar liya

dhire dhire chaTTanen pighalti rahin qatra qatra samundar nigalti rahin
wo jo aansu na Dhalka kabhi gal par, us ko dil ke sadaf ne guhar kar liya

bap ki DanT bhi mujh ko aisi mili jaise man ki mohabbat ki misri Dali
qufl dil ki tijori ko main ne kiya aur mahfuz ye mal-o-zar kar liya

mausamon ke ghazab se bachate hue, apni bahon ka halqa banate hue
dukh uThae jahan meri man ne bahut, apne aangan ka pauda shajar kar liya

main ne bachpan guzara hai apna yahan us ke sae mein pal kar hua main jawan
kaise bhulun main 'KHusraw' ye kachcha makan, us makan ne mere dil mein ghar kar liya

(765) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Jis GhaDi Rah-e-pur-Khaar Maine Chuni Sath Usne Bhi Azm-e-safar Kar Liya written by Firoz Natiq Khusro at UrduPoint. Jis GhaDi Rah-e-pur-Khaar Maine Chuni Sath Usne Bhi Azm-e-safar Kar Liya is one of the masterpieces written by Firoz Natiq Khusro. You can also find the complete poetry collection of Firoz Natiq Khusro by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Firoz Natiq Khusro' above.

Jis GhaDi Rah-e-pur-Khaar Maine Chuni Sath Usne Bhi Azm-e-safar Kar Liya is a widely read Urdu Ghazal. If you like Jis GhaDi Rah-e-pur-Khaar Maine Chuni Sath Usne Bhi Azm-e-safar Kar Liya, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.