Meri Talwar Hai Ye Mera Qalam, Urdu Nazam By Gauhar Raza

Meri Talwar Hai Ye Mera Qalam is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Gauhar Raza. Meri Talwar Hai Ye Mera Qalam comes under the Love, Sad category of Urdu Nazam. You can read Meri Talwar Hai Ye Mera Qalam on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

میری تلوار ہے یہ میرا قلم

گوہر رضا

ایک نظم ایک غزل

الجھا الجھا سا کوئی

شعر کہیں

ایک افسانہ کہانی

یا کوئی ایک کتاب

کوئی تصویر

کوئی خاکہ

کوئی ایک خیال

دل کے ایک کونے میں کہیں

کلیوں کے چٹکنے کی صدا

صبح دم اس میں بھیگے ہوئے

پھولوں کی مہک

دور دھندھلائے ہوئے

رنگوں کے پردے سے پرے

ڈوبتے اور ابھرتے ہوئے

نغموں کی صدا

گہری آنکھوں میں کہیں

آنسو چھلکنے سے بھی پہلے کا سماں

گر کبھی ایسے ہی

کچھ نرم سے جذبات کو

الفاظ کا پیراہن دوں

ہتھکڑی ہاتھ میں پڑ جاتی ہے

اور کاغذ پہ کسی

پردۂ سیمیں کی طرح

ایک ایک کر کے

ابھرتے ہیں

ہزاروں چہرے

بین کرتے ہوئے

بے اثر گمنام سوال

پوچھتے ہیں کے یہ انصاف

لہو میں کب تک

تیری تلوار ہے یہ تیرا قلم

اور پھر دل کے کسی کونے سے

آتی ہے صدا

کتنے ہی ہاتھ ہیں جو

نرم سے جذبات رقم کرتے ہیں

یہ قلم تیشہ و تلوار ہے

ان ہاتھوں میں

امن و انصاف کی

بے باک تمنا کے لیے

پھر سے ایک بار اسے وقف کرو

گوہر رضا

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Meri Talwar Hai Ye Mera Qalam

Gauhar Raza

ek nazm ek ghazal
uljha uljha sa koi
sher kahen
ek afsana kahani
ya koi ek kitab
koi taswir
koi KHaka
koi ek KHayal
dil ke ek kone mein kahin
kaliyon ke chaTakne ki sada
subh-dam is mein bhige hue
phulon ki mahak
dur dhundhlae hue
rangon ke parde se pare
Dubte aur ubharte hue
naghmon ki sada
gahri aankhon mein kahin
aansu chhalakne se bhi pahle ka saman

gar kabhi aise hi
kuchh narm se jazbaat ko
alfaz ka pairahan dun
hathkaDi hath mein paD jati hai
aur kaghaz pe kisi
parda-e-simin ki tarah
ek ek kar ke
ubharte hain
hazaron chehre
bain karte hue
be-asar gumnam sawal
puchhte hain ke ye insaf
lahu mein kab tak

teri talwar hai ye tera qalam

aur phir dil ke kisi kone se
aati hai sada
kitne hi hath hain jo
narm se jazbaat raqam karte hain

ye qalam tesha o talwar hai
in hathon mein
amn-o-insaf ki
be-bak tamanna ke liye
phir se ek bar use waqf karo

(863) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Meri Talwar Hai Ye Mera Qalam written by Gauhar Raza at UrduPoint. Meri Talwar Hai Ye Mera Qalam is one of the masterpieces written by Gauhar Raza. You can also find the complete poetry collection of Gauhar Raza by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Gauhar Raza' above.

Meri Talwar Hai Ye Mera Qalam is a widely read Urdu Nazam. If you like Meri Talwar Hai Ye Mera Qalam, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.