Masarrat Ki Farawani Ke Din Hain, Urdu Ghazal By Ghani Ejaz

Masarrat Ki Farawani Ke Din Hain is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Ghani Ejaz. Masarrat Ki Farawani Ke Din Hain comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Masarrat Ki Farawani Ke Din Hain on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

مسرت کی فراوانی کے دن ہیں

غنی اعجاز

مسرت کی فراوانی کے دن ہیں

محبت کی جہاں بانی کے دن ہیں

تمناؤں کی شادابی کا موسم

یہ ارمانوں کی جولانی کے دن ہیں

ہے کلیوں کے تبسم کا زمانہ

گلوں کی چاک دامانی کے دن ہیں

مناظر میں ہے رنگینی غضب کی

نظر کی شوق سامانی کے دن ہیں

اٹھے ہیں چار سو بادل خوشی کے

حسیں جذبوں کی طغیانی کے دن ہیں

ملے ہیں پیار کے انمول تحفے

خلوص دل کی ارزانی کے دن ہیں

ہوئے روشن مقدر کے ستارے

فلک کی نور افشانی کے دن ہیں

سلامت رحمت حق کا تسلسل

مبارک فضل ربانی کے دن ہیں

غنی اعجاز

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Masarrat Ki Farawani Ke Din Hain

Ghani Ejaz

masarrat ki farawani ke din hain
mohabbat ki jahanbani ke din hain

tamannaon ki shadabi ka mausam
ye armanon ki jaulani ke din hain

hai kaliyon ke tabassum ka zamana
gulon ki chaak-damani ke din hain

manazir mein hai rangini ghazab ki
nazar ki shauq-samani ke din hain

uThe hain chaar su baadal KHushi ke
hasin jazbon ki tughyani ke din hain

mile hain pyar ke anmol tohfe
KHulus-e-dil ki arzani ke din hain

hue raushan muqaddar ke sitare
falak ki nur-afshani ke din hain

salamat rahmat-e-haq ka tasalsul
mubarak fazl-e-rabbani ke din hain

(789) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Masarrat Ki Farawani Ke Din Hain written by Ghani Ejaz at UrduPoint. Masarrat Ki Farawani Ke Din Hain is one of the masterpieces written by Ghani Ejaz. You can also find the complete poetry collection of Ghani Ejaz by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Ghani Ejaz' above.

Masarrat Ki Farawani Ke Din Hain is a widely read Urdu Ghazal. If you like Masarrat Ki Farawani Ke Din Hain, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.