Aadmi Ka, Urdu Nazam By Ghaus Khah Makhah Hyderabadi

Aadmi Ka is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Ghaus Khah Makhah Hyderabadi. Aadmi Ka comes under the Love, Sad category of Urdu Nazam. You can read Aadmi Ka on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

آدمی کا

غوث خواہ مخواہ حیدرآبادی

غم مسلسل کی اس تپش میں کہ جسم جل جائے آدمی کا

ہنسی کی ہلکی پھوار بھی ہو تو کام چل جائے آدمی کا

مزے کی گر ذرا بھی حس ہے نہ ہنسی کو اور قہقہے کو چھوڑو

چمن میں گر پھول مسکرا دے تو دل بہل جائے آدمی کا

مصیبتوں کا مقابلہ جو ہمیشہ ہنستے ہوئے کرے گا

جو وقت مشکل ہے آنے والا تو وہ بھی ٹل جائے آدمی کا

کسی کو گرنے سے ٹوکنا مت درشت لہجے میں یاد رکھو

تبسم آمیز ہو نصیحت قدم سنبھل جائے آدمی کا

زمانہ اچھا گزر گیا تو یہ دن برے بھی نہیں رہیں گے

نہ ہو اگر یہ قریب پیہم تو دم نکل جائے آدمی کا

گناہ گاروں اور عاصیوں کو عذاب دوزخ سے واعظو تم

ڈراؤ بے شک مگر نہ اتنا کہ دل دہل جائے آدمی کا

عبادتوں کے معاوضے میں ملے گی جو عابدوں کو جنت

تم اس کا نقشہ کچھ ایسا کھینچو کہ دل پھسل جائے آدمی کا

نزع سے پہلے کرے جو توبہ وہ اپنی رحمت سے بخش دے گا

عجب نہیں ہے کہ مرتے دم بھی دل بدل جائے آدمی کا

یہ دور میک اپ کا آ گیا ہے وہ حسن سادہ کہاں ملے اب

کہ جس کی بس اک جھلک کو دیکھے تو دل مچل جائے آدمی کا

فضائے مسموں میں سانس لے کر کوئی جیا بھی تو کیا کرے گا

ضعیف ہونے سے قبل ہی جب شباب ڈھل جائے آدمی کا

نہ اتنی آسان شاعری ہو کہ جس کا مفہوم ہی نہ نکلے

نہ اتنی مشکل کہ جس کو سن کر ذہن پگھل جائے آدمی کا

یہ زندگی ؔخواہ مخواہ اتنی عذاب جاں اور طویل بھی ہے

اگر نہ ہوں محفلیں ہنسی کی تو دم نکل جائے آدمی کا

غوث خواہ مخواہ حیدرآبادی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Aadmi Ka

Ghaus Khah Makhah Hyderabadi

gham-e-musalsal ki is tapish mein ki jism jal jae aadmi ka
hansi ki halki phuwar bhi ho to kaam chal jae aadmi ka

maze ki gar zara bhi his hai na hansi ko aur qahqahe ko chhoDo
chaman mein gar phul muskura de to dil bahal jae aadmi ka

musibaton ka muqabla jo hamesha hanste hue karega
jo waqt-e-mushkil hai aane wala to wo bhi Tal jae aadmi ka

kisi ko girne se Tokna mat durusht lahje mein yaad rakho
tabassum-amez ho nasihat qadam sanbhal jae aadmi ka

zamana achchha guzar gaya to ye din bure bhi nahin rahenge
na ho agar ye qarib paiham to dam nikal jae aadmi ka

gunahgaron aur aasiyon ko azab-e-dozaKH se waizo tum
Darao be-shak magar na itna ki dil dahal jae aadmi ka

ibaadaton ke muawze mein milegi jo aabidon ko jannat
tum us ka naqsha kuchh aisa khincho ki dil phisal jae aadmi ka

naza se pahle kare jo tauba wo apni rahmat se baKHsh dega
ajab nahin hai ki marte dam bhi dil badal jae aadmi ka

ye daur make-up ka aa gaya hai wo husn-e-sada kahan mile ab
ki jis ki bas ek jhalak ko dekhe to dil machal jae aadmi ka

faza-e-masmum mein sans le kar koi jiya bhi to kya karega
zaif hone se qabl hi jab shabab Dhal jae aadmi ka

na itni aasan shairi ho ki jis ka mafhum hi na nikle
na itni mushkil ki jis ko sun kar zehn pighal jae aadmi ka

ye zindagi 'KHwah-maKHwah' itni azab-e-jaan aur tawil bhi hai
agar na hon mahfilen hansi ki to dam nikal jae aadmi ka

(793) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Aadmi Ka written by Ghaus Khah Makhah Hyderabadi at UrduPoint. Aadmi Ka is one of the masterpieces written by Ghaus Khah Makhah Hyderabadi. You can also find the complete poetry collection of Ghaus Khah Makhah Hyderabadi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Ghaus Khah Makhah Hyderabadi' above.

Aadmi Ka is a widely read Urdu Nazam. If you like Aadmi Ka, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.