Ajnabi Chaman Mein, Urdu Nazam By Ghaus Khah Makhah Hyderabadi

Ajnabi Chaman Mein is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Ghaus Khah Makhah Hyderabadi. Ajnabi Chaman Mein comes under the Love, Sad category of Urdu Nazam. You can read Ajnabi Chaman Mein on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

اجنبی چمن میں

غوث خواہ مخواہ حیدرآبادی

نہ بنا سکا نشیمن کسی اجنبی چمن میں

مرا گھر جلا ہے جب سے مرے اپنے ہی وطن میں

مرے ذوق خوش لباسی کو فرشتے بھی تو دیکھیں

میں مروں تو دفن کرنا ٹیری لین کے کفن میں

یہ ہے بے ثبات دنیا اسی دم کے مرغ کی سی

جو صبح پکا کچن میں مگر آیا نہ ٹفن میں

مزہ گل کے توڑنے کا تو ملا بہت اے گلچیں

ملی لذت خلش بھی کسی خار کی چبھن میں

یہی آرزو ہے میری نظم و نثر میں یکساں

کہ نہیں تضاد کوئی میرے شعر اور سخن میں

کبھی سابقہ پڑے نہ مرا ساس اور خسر سے

ملے بیوی گائے جیسی جو بندھی رہے صحن میں

میں کبھی نہ بیاہ کرتا جو مجھے یہ علم ہوتا

کہ حجم بڑھے گا ان کا تو گھٹوں گا میں وزن میں

چڑھا ان پہ گوشت کیسے مری نکلی ہڈیاں کیوں

یہ تو راز کی ہیں باتیں کہوں کیسے انجمن میں

یہی فرق رہ گیا ہے اے رقیب تجھ میں مجھ میں

میں بسا ہوں جا کے بمبئی تو رہا نہیں دکن میں

وہاں بیاہ میں رچایا تو رہا یہاں اکیلا

میں قفس میں بھی ہوں آزاد تو اسیر ہے چمن میں

یہ ہمارا ہی وطن ہے مگر آج ہم ہیں مہماں

ہے عجب ستم ظریفی کہ ہیں بے وطن وطن میں

کوئی ؔخواہ مخواہ پوچھے ترے قرب کی لطافت

کہ ترا خیال آیا ہوئی گدگدی بدن میں

غوث خواہ مخواہ حیدرآبادی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Ajnabi Chaman Mein

Ghaus Khah Makhah Hyderabadi

na bana saka nasheman kisi ajnabi chaman mein
mera ghar jala hai jab se mere apne hi watan mein

mere zauq-e-KHush-libasi ko farishte bhi to dekhen
main marun to dafn karna Teri-len ke kafan mein

ye hai be-sabaat duniya isi dam ke murgh ki si
jo subh paka kitchen mein magar aaya na tiffin mein

maza gul ke toDne ka to mila bahut ai gulchin
mili lazzat-e-KHalish bhi kisi KHar ki chubhan mein

yahi aarzu hai meri nazm-o-nasr mein yaksan
ki nahin tazad koi mere sher aur suKHan mein

kabhi sabiqa paDe na mera sas aur KHusar se
mile biwi gay jaisi jo bandhi rahe sahn mein

main kabhi na byah karta jo mujhe ye ilm hota
ki hajm baDhega un ka to ghaTunga main wazan mein

chaDha un pe gosht kaise meri nikli haDDiyan kyon
ye to raaz ki hain baaten kahun kaise anjuman mein

yahi farq rah gaya hai ai raqib tujh mein mujh mein
main basa hun ja ke bambai tu raha nahin dakan mein

wahan byah main rachaya tu raha yahan akela
main qafas mein bhi hun aazad tu asir hai chaman mein

ye hamara hi watan hai magar aaj hum hain mehman
hai ajab sitam-zarifi ki hain be-watan watan mein

koi 'KHwah-maKHwah' puchhe tere qurb ki latafat
ki tera KHayal aaya hui gudgudi badan mein

(656) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Ajnabi Chaman Mein written by Ghaus Khah Makhah Hyderabadi at UrduPoint. Ajnabi Chaman Mein is one of the masterpieces written by Ghaus Khah Makhah Hyderabadi. You can also find the complete poetry collection of Ghaus Khah Makhah Hyderabadi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Ghaus Khah Makhah Hyderabadi' above.

Ajnabi Chaman Mein is a widely read Urdu Nazam. If you like Ajnabi Chaman Mein, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.