Waqt Se Hum Gila Nahin Karte, Urdu Ghazal By Ghulam Mohammad Safeer

Waqt Se Hum Gila Nahin Karte is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Ghulam Mohammad Safeer. Waqt Se Hum Gila Nahin Karte comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Waqt Se Hum Gila Nahin Karte on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

وقت سے ہم گلہ نہیں کرتے

غلام محمد سفیر

وقت سے ہم گلہ نہیں کرتے

کام کوئی برا نہیں کرتے

اشک بھی ہوں رخ تبسم پر

زندگی یوں جیا نہیں کرتے

حسن والو ذرا بتاؤ نا

کیوں کسی سے وفا نہیں کرتے

کچھ تو پاتے ہی ہوں گے پروانے

بے وجہ ہی جلا نہیں کرتے

دل ہے یارا کوئی مکان نہیں

ہر کسی کو دیا نہیں کرتے

عشق کی ابتدا ہے تم سے اگر

مجھ پہ کیوں انتہا نہیں کرتے

مسکرانا تو بھول ہی جاؤ

اشک بھی اب بہا نہیں کرتے

تم کو آسان ہے بھلا دینا

ہم مگر یہ کیا نہیں کرتے

اشک پینے کی لت لگی ہو جنہیں

جام فرحت پیا نہیں کرتے

جن کے دل میں جنون و الفت ہو

شوق خندہ رکھا نہیں کرتے

ماہ کامل ہو تم ہو اور میں ہوں

یہ نظارے دکھا نہیں کرتے

میں برا ہوں مگر انوکھا ہوں

میرے جیسے ملا نہیں کرتے

خاص ہوتی ہیں باتیں کچھ اپنی

سب سے سب کچھ کہا نہیں کرتے

درد نے سب سکھا دیا ہے سفیرؔ

ورنہ ہم تو لکھا نہیں کرتے

غلام محمد سفیر

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Waqt Se Hum Gila Nahin Karte

Ghulam Mohammad Safeer

waqt se hum gila nahin karte
kaam koi bura nahin karte

ashk bhi hon ruKH-e-tabassum par
zindagi yun jiya nahin karte

husn walo zara batao na
kyun kisi se wafa nahin karte

kuchh to pate hi honge parwane
be-wajah hi jala nahin karte

dil hai yara koi makan nahin
har kisi ko diya nahin karte

ishq ki ibtida hai tum se agar
mujh pe kyun intiha nahin karte

muskurana to bhul hi jao
ashk bhi ab baha nahin karte

tum ko aasan hai bhula dena
hum magar ye kiya nahin karte

ashk pine ki lat lagi ho jinhen
jam-e-farhat piya nahin karte

jin ke dil mein junun-o-ulfat ho
shauq-e-KHanda rakha nahin karte

mah-e-kaamil ho tum ho aur mein hun
ye nazare dikha nahin karte

main bura hun magar anokha hun
mere jaise mila nahin karte

KHas hoti hain baaten kuchh apni
sab se sab kuchh kaha nahin karte

dard ne sab sikha diya hai 'safir'
warna hum to likha nahin karte

(1233) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Waqt Se Hum Gila Nahin Karte written by Ghulam Mohammad Safeer at UrduPoint. Waqt Se Hum Gila Nahin Karte is one of the masterpieces written by Ghulam Mohammad Safeer. You can also find the complete poetry collection of Ghulam Mohammad Safeer by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Ghulam Mohammad Safeer' above.

Waqt Se Hum Gila Nahin Karte is a widely read Urdu Ghazal. If you like Waqt Se Hum Gila Nahin Karte, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.