Jab KHud Hi Ehtiyat Ki Sarhad Se Dur Tha, Urdu Ghazal By Ghulam Rasool Ashraf

Jab KHud Hi Ehtiyat Ki Sarhad Se Dur Tha is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Ghulam Rasool Ashraf. Jab KHud Hi Ehtiyat Ki Sarhad Se Dur Tha comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Jab KHud Hi Ehtiyat Ki Sarhad Se Dur Tha on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

جب خود ہی احتیاط کی سرحد سے دور تھا

غلام رسول اشرف

جب خود ہی احتیاط کی سرحد سے دور تھا

کیسے کروں گلہ کہ میں زخموں سے چور تھا

میں نے ہی راستے سے ہٹائے تھے سارے خار

میں نے یہ کب کہا ہے کہ میں بے قصور تھا

ممکن نہیں تھا دوستو اپنا محاصرہ

درباریوں میں کوئی تو مخبر ضرور تھا

دریائے حادثات کی موجیں شدید تھیں

آواز میں نے دی تھی مگر وہ بھی دور تھا

کیوں کر امیر شہر کے تم ہم نوا ہوئے

اشرفؔ تمہیں تو اچھے برے کا شعور تھا

غلام رسول اشرف

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Jab KHud Hi Ehtiyat Ki Sarhad Se Dur Tha

Ghulam Rasool Ashraf

jab KHud hi ehtiyat ki sarhad se dur tha
kaise karun gila ki main zaKHmon se chur tha

main ne hi raste se haTae the sare KHar
main ne ye kab kaha hai ki main be-qusur tha

mumkin nahin tha dosto apna muhasara
darbariyon mein koi to muKHbir zarur tha

dariya-e-hadsat ki maujen shadid thin
aawaz main ne di thi magar wo bhi dur tha

kyunkar amir-e-shahr ke tum ham-nawa hue
'ashraf' tumhein to achchhe-bure ka shuur tha

(589) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Jab KHud Hi Ehtiyat Ki Sarhad Se Dur Tha written by Ghulam Rasool Ashraf at UrduPoint. Jab KHud Hi Ehtiyat Ki Sarhad Se Dur Tha is one of the masterpieces written by Ghulam Rasool Ashraf. You can also find the complete poetry collection of Ghulam Rasool Ashraf by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Ghulam Rasool Ashraf' above.

Jab KHud Hi Ehtiyat Ki Sarhad Se Dur Tha is a widely read Urdu Ghazal. If you like Jab KHud Hi Ehtiyat Ki Sarhad Se Dur Tha, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.