Gila Kya Karun Ai Falak Bata Mere Haq Mein Jab Ye Jahan Nahin, Urdu Ghazal By Gorbachan Singh Dayal Maghmum

Gila Kya Karun Ai Falak Bata Mere Haq Mein Jab Ye Jahan Nahin is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Gorbachan Singh Dayal Maghmum. Gila Kya Karun Ai Falak Bata Mere Haq Mein Jab Ye Jahan Nahin comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Gila Kya Karun Ai Falak Bata Mere Haq Mein Jab Ye Jahan Nahin on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

گلا کیا کروں اے فلک بتا مرے حق میں جب یہ جہاں نہیں

گور بچن سنگھ دیال مغموم

گلا کیا کروں اے فلک بتا مرے حق میں جب یہ جہاں نہیں

کہوں کیسے حال دل ان سے میں مری ہلتی تک یہ زباں نہیں

یہ بھنور ہیں بہر حیات کے میں ہوں خستہ حال و شکستہ دل

مری ڈگمگاتی ہے ناؤ اب کہیں ملتا مجھ کو کراں نہیں

تجھے ڈھونڈوں بھی تو کہاں کہ جب ہوں میں خود ہی ظلمت یاس میں

مجھے بزم ہستی میں مل سکا تیرے نقش پا کا نشاں نہیں

غم دل ہی میرا نکال دو مری زندگی سے جو تم اگر

تو وہ داستاں ہی کچھ اور ہے مرے حال دل کا بیاں نہیں

میں سناؤں کس کو یہ حال دل میں دکھاؤں کس کو یہ درد و غم

میں ہوں ایسی حالت زار میں کہ خود اپنا مجھ کو گماں نہیں

نہیں گیت بادہ و جام کے یہاں اور ہی کوئی بات ہے

کہ میں جس بلا میں ہوں مبتلا وہ بلائے عشق بتاں نہیں

تو ہے ذرہ ذرہ میں ضو فشاں نہیں ملتا پھر بھی کہیں نشاں

کوئی شغلؔ اب یہ بتائے کیا تو کہاں ہے اور کہاں نہیں

گور بچن سنگھ دیال مغموم

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Gila Kya Karun Ai Falak Bata Mere Haq Mein Jab Ye Jahan Nahin

Gorbachan Singh Dayal Maghmum

gila kya karun ai falak bata mere haq mein jab ye jahan nahin
kahun kaise haal-e-dil un se main meri hilti tak ye zaban nahin

ye bhanwar hain bahr-e-hayat ke main hun KHasta-haal-o-shikasta-o-dil
meri Dagmagati hai naw ab kahin milta mujh ko karan nahin

tujhe DhunDun bhi to kahan ki jab hun main KHud hi zulmat-e-yas mein
mujhe bazm-e-hasti mein mil saka tere naqsh-e-pa ka nishan nahin

gham-e-dil hi mera nikal do meri zindagi se jo tum agar
to wo dastan hi kuchh aur hai mere haal-e-dil ka bayan nahin

main sunaun kis ko ye haal-e-dil main dikhaun kis ko ye dard-o-gham
main hun aisi haalat-e-zar mein ki KHud apna mujh ko guman nahin

nahin git baada-o-jam ke yahan aur hi koi baat hai
ki main jis bala mein hun mubtala wo bala-e-ishq-e-butan nahin

tu hai zarre zarre mein zau-fishan nahin milta phir bhi kahin nishan
koi 'shaghl' ab ye batae kya tu kahan hai aur kahan nahin

(628) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Gila Kya Karun Ai Falak Bata Mere Haq Mein Jab Ye Jahan Nahin written by Gorbachan Singh Dayal Maghmum at UrduPoint. Gila Kya Karun Ai Falak Bata Mere Haq Mein Jab Ye Jahan Nahin is one of the masterpieces written by Gorbachan Singh Dayal Maghmum. You can also find the complete poetry collection of Gorbachan Singh Dayal Maghmum by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Gorbachan Singh Dayal Maghmum' above.

Gila Kya Karun Ai Falak Bata Mere Haq Mein Jab Ye Jahan Nahin is a widely read Urdu Ghazal. If you like Gila Kya Karun Ai Falak Bata Mere Haq Mein Jab Ye Jahan Nahin, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.