Ba-zahir Dekhte Hain To Ziyaada Kaam Karta Hun, Urdu Ghazal By Gul Faraz

Ba-zahir Dekhte Hain To Ziyaada Kaam Karta Hun is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Gul Faraz. Ba-zahir Dekhte Hain To Ziyaada Kaam Karta Hun comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Ba-zahir Dekhte Hain To Ziyaada Kaam Karta Hun on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

بظاہر دیکھتے ہیں تو زیادہ کام کرتا ہوں

گل فراز

بظاہر دیکھتے ہیں تو زیادہ کام کرتا ہوں

مگر حق بات کچھ یوں ہے کہ تھوڑا کام کرتا ہوں

اب آگے خود سمجھ جاؤ میں کیسا کام کرتا ہوں

جو کوئی بھی نہیں کرتا ہے ویسا کام کرتا ہوں

محبت میں مجھے باتیں بنانا تو نہیں آتا

کبھی موقع ملے مجھ کو تو سیدھا کام کرتا ہوں

کرانا چاہتا ہوں اس طرح اپنا ہی کوئی کام

یہاں ہر وقت جو میں یہ تمہارا کام کرتا ہوں

نئی ہے پیشکش اور پھر کیا ہے نام بھی تبدیل

حقیقت میں مگر اب بھی پرانا کام کرتا ہوں

وہ میرے ساتھ جو کرتے ہیں ویسا تو نہیں کوئی

وہ اپنا کام کرتے ہیں میں اپنا کام کرتا ہوں

مگر اب لوگ کہتے ہیں بھلا یہ بھی ہے کوئی کام

کبھی یہ لوگ کہتے تھے کہ اچھا کام کرتا ہوں

اب ایسا بھی نہیں ہے جو ملا وہ کر لیا میں نے

مرا معیار ہے اک اور ستھرا کام کرتا ہوں

انہیں وہ چھوڑ دیتے ہیں جو کچھ بھی تو نہیں کرتے

میں پھنس جاتا ہوں گلؔ اتنا ہی جتنا کام کرتا ہوں

گل فراز

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Ba-zahir Dekhte Hain To Ziyaada Kaam Karta Hun

Gul Faraz

ba-zahir dekhte hain to ziyaada kaam karta hun
magar haq baat kuchh yun hai ki thoDa kaam karta hun

ab aage KHud samajh jao main kaisa kaam karta hun
jo koi bhi nahin karta hai waisa kaam karta hun

mohabbat mein mujhe baaten banana to nahin aata
kabhi mauqa mile mujh ko to sidha kaam karta hun

karana chahta hun is tarah apna hi koi kaam
yahan har waqt jo main ye tumhaara kaam karta hun

nai hai peshkash aur phir kiya hai nam bhi tabdil
haqiqat mein magar ab bhi purana kaam karta hun

wo mere sath jo karte hain waisa to nahin koi
wo apna kaam karte hain main apna kaam karta hun

magar ab log kahte hain bhala ye bhi hai koi kaam
kabhi ye log kahte the ki achchha kaam karta hun

ab aisa bhi nahin hai jo mila wo kar liya main ne
mera mear hai ek aur suthra kaam karta hun

unhen wo chhoD dete hain jo kuchh bhi to nahin karte
main phans jata hun 'gul' utna hi jitna kaam karta hun

(1231) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Ba-zahir Dekhte Hain To Ziyaada Kaam Karta Hun written by Gul Faraz at UrduPoint. Ba-zahir Dekhte Hain To Ziyaada Kaam Karta Hun is one of the masterpieces written by Gul Faraz. You can also find the complete poetry collection of Gul Faraz by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Gul Faraz' above.

Ba-zahir Dekhte Hain To Ziyaada Kaam Karta Hun is a widely read Urdu Ghazal. If you like Ba-zahir Dekhte Hain To Ziyaada Kaam Karta Hun, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.